Wafa Ka

Wafa ka poda shajar hua to Mohabbaton ka pata chalay ga Naseeb uska samar hua to Mohabbaton ka pata chalay ga Abhi to firty ho doston mai aziz koi juda nahi hai Koi idher say udhar hua to Mohabbaton ka pata chalay ga Yeh khushnaseebi hai shehr bhar mai tumhara dushman koi nahi hai Kabhi kisi ka jo dar hua to Mohabbaton ka pata chalay ga Yeh ki abicharhna k sham hotay hi apnay pyaron me lot jana Kabhi jo lamba safar hua to Mohabbaton ka pata chalay ga Abhi mohabat nahi hui na kuhc is liay muskura rhy ho Kisi ki bahon mai ghar hua to Mohabbaton ka pata chalay ga Wo jis ki khatir zamanay bhar ko bana rahay ho tum apna dushman Wohi na apna Agar hua to Mohabbaton ka pata chalay ga

Latest Anniversary SMS Messages