Ussay Apni Zaat Ki

ussay apni zaat ki fikar thi wo jo mera wakif e haal tha woh jo us ki subhe urooj thi woh mera waqt e zawal tha mera dard woh kaisay janta meri baat woh kaisay manta woh to khud fanna k safar main tha usay rokna bhi mohal tha kahan jao gay mjhay chor kar main yeh poch poch k thak gaya woh jawab mujh ko na de saka woh to khud sarapa sawal tha woh mila to saddiyon baad bhi mera lab per koi gila na tha ussay meri chup ne rula dia jisay guftugu main kamal tha

Latest Poetry SMS Messages