Add Poetry

Meri Taraf Aakar To Dekh

Poet: Maryam Bari By: Maryam Bari, Lahore

Meri Taraf Aakar To Dekh
Mutwajjeh Na Hu To Kahena

Meri Rah Me Chal Kar To Dekh
Rah Na Khol Du To Kahena

Mujseh Sawal Kar K To Dekh
Bakhshis Ki Had Na Kar Du To Kahena

Mere Lie Be Qadr Ho Kar To Dekh
Qadr Ki Had Na Kardu To Kahena

Mere Lie Malamat Seh Kar To Dekh
Ikram Ki Inteha Na Kar Du To Kahena

Mere Lie Loot Kar To Dekh
Rahemat K Khazane Na Loota Doo To Kahena

Mere Kuche Me Bik Kar To Dekh
Anmol Na Kar Du Kahena

Muje Rab Man Kar To Dekh
Sabse Beniyaz Na Kardu To Kahena

Mere Khauf Se Aansu Baha Kar To Dekh
Magfirat Ka Dariya Na Baha Du To Kahena

Wafa Ki Laj Nibha Kar To Dekh
Ata Ki Had Na Kar Du To Kahena

Mere Nam Ki Tazim Kar K To Dekh
Takrim Ki Inteha Na Kardu To Kahena

Apni Hasti Ko Fana Kar K T Dekh
Jam Baqa Se Sarfraz Na Kar Du To Kahena

Huje Haiyul Qaiyyum Man K To Dekh
Abdi Hayat Amin Na Kar Du To Kahena

Bil Aakhir Mera Ho Kar To Dekh
Har Kisi Ko Tera Na Kar Du To Kahena

Rate it:
Views: 3687
22 Dec, 2012
More Religious Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets