Add Poetry

Chand Mubarak

Poet: Nabeel Alam By: Nabeel Alam, Delhi

Yeh Chand Mubarak Hia Iska Ahtram Karo
Yeh Mah Mubarak Hai Iska Ahtram Karo

Har Su Talash Jiski Sabko
Yeh Woh Khazeena Hai Iska Ahtram Hai

Tareek-E-Dil Ko Jo Kar De Roshan
Yeh Noor Ka Mahina Hai Iska Ahtram Karo

Dil Khol Ke Mango Duayen Jo Jayej Hain
K Yeh Maqbuliyat Ka Zamana Hai Iska Ahtram Karo

Paa Lena Sukoon Sunke Kalame Paak Ko
Yeh Quran Ka Mahina Hai Iska Ahtram Karo

Rakhan Buraiyon Se Mehfooz Khud Ko
Yeh Imtihaan Ka Mahina Hai Iska Ahtram Karo

Huquq-Ullah Se Pehle Huquq-Ul-Ibaad Ka Rakhan Khayal
Yeh Farmaan Hai Khuda Ka Is Ahtram Karo

Dua Mein Is Naa Cheez Ka Bhi Rakhna Khayal
K Yeh Ramzan Ka Mahina Hai Iska Ahtram Karo

Rate it:
Views: 382
26 Jun, 2017
More Religious Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets