karam hai tera Shukr hai

Meri janib na kiya dast-e-tawangar tu ne De diya khud hi mujhe phar ke chhappar tu ne Apna mohtaj banaya ye karam hai tera Shukr hai mujh ko phiraya nahin dar dar tu ne Kis tarah teri attaon ki main ta'reef karun Bhar diya hai mere kashkol men gauhar tu ne Fazl se apne atta ki hai har ek shay mujhko Qabil-e-rashk banaya hai muqaddar tu ne Aadmi apne hi kirdaar se gir jata hai Koi insaan banaya nahin kamtar tu ne Meri kya baat hai kis baat pe main naaz karun, Sainkron mujh sa banaya hai sukhanwar tu ne.

Latest Islamic SMS Messages