Science Fictiona

(Hukhan, karachi)

Humara Science Say Itna Hee Taluq Aur Wasta Hay ,,,,,,Kay,,,,Hum Science Fiction Hollywood Movies Kay Bhut Say Ekhtlaafat Kay Bawajodh Baray Fan Hein,,,,,Ju Baat Aqal Tasleem Nahi Kartee Wo Baat Gora Science Kay Naam Par Humein Dekha Kar Taliaan Bee Bjhwaa Laita Hay Aur Humaree Jaib Ju Kay Hakoomatee Khazanay Ki Tra Khali Rehtee Hay ,,,,,,,Usay Botton Yeni Tehh Tak Mazeed Khali Kar Deta Hay Kher Ye Tu Goray Ka Kamal Hay Kay Wo Humaree Marzee Aur Mansha Kay Mutabiq Loot Laita Hay,,,,,,,Werna Karachi Ki Roads Aur Streets Par Koi Bee Wardee Mein Ya Bina Wardee Kay Ap Ki Jaib Ko Perosi Ki Muhbat Ki Tra Khali Aur Khukhlaa Kar Deta Hay,,,,,,Humaray Ek Dost Baree Mushkil Say Jumay Ki Namaaz Kay Liye Masjid Tashreef Lay Gaye ,,,,,,,Zayda Tar Logh Ye Samjhay Kay Unhun Nay Naya Naya Islaam Qabool Kiya Hay,,,,,Wapsee Mein Un Ka Paon Sar Dono Nanghay Thay,,,,,,,,Ghusay Say Bolay Yaar Koi Chapal Lay Gia,,,,,,,,,Hum Bolay Bhai Jaan,,,,,,Uss Nay Churee Nahi Ki,,Aqidat Say Lay Gia Hu Ga......Koi Mureed Hee Hu Ga,,,,,,,Wo Usi Spirited Ghusay Say Bolay Yaar Saalun Baad Hum Ajh Masjid Gaye ,,,,,Hum Kasay Uss Kay Peer Hu Gaye,,,,,,,,,Hum Bolay Ajh Kal Kay Peer Asay Hee Hein,,,,,,Kam Kam Masjid Jaya Kartay Hein,,,,,,Wo Bolay Hum Nahi Mantay Hum Jhat Say Bolay Acha Ye Batow,,,,,Prime Minister ,,,,,Halaf Uthanay Kay Baad Kitni Dafa National Assembly Gaye Hein,,,,,,,Wo Bolay ,,,,,,,,,,,Dharnay Kay Din Daily Jaya Kartay Thay,,,,,,,,Hum Bolay Pher Be Wo Leader Of The House Hein Kay Nahi,,,,,Dost Nay Ju Kay Humaree Logic Say Bhut Hee Maroob Nazar Aa Raha Tha Asay Sar Hilaya Jasy Hum Nay Usay Hupnatise Kar Diya Hu,,,,,,,,Bas Ajh Kal Kay Peer Bee Itna Hee Masjid Aya Jaya Kartay Hein Aap Mein Peer Hunay Ki Koi Na Koi Nishani Badarjha Atam Mojhdh Hein,,,,,,,Wesay Ek Waja Aur Bee Hu Saktee Hay,,,,,Uss Nay Naqabil E Yaqeen Andaaz Mein Humein Dekha Qun Kay Hum Jasay Koor Maghaz Balkay Kooraa Maghaz Insaan Say Usay Harghiz Asee Logical Guftughu Ki Umeed Na Thee,,,,Uss Kay Sawaliya Andaaz Nay Humaree Bharpoor Husla Afzaiee Ki Qun Kay Humaree Tu Ghar Mein Koi Nahi Sunta Ye Gham E Chapal Mein Mubtelaaa Insaan Humein Kis Qadar Izat Aur Tawajha De Raha Tha,,,,,Barhaal,,,,,,,Hum Bolay,,,,,,Hu Sakta Hay ,,,,,,Chapal Chore,,,,,,,,Ap Ka Hunay Wala Sala Hu,,,,,,,,,Behnoi Ki Juta Chupaiee Ki Rasam Pori Kar Raha Hu,,,,,,Wo Sharma Gya Aur Apna Sar Humaray Natuwaan Kanhay Par Tek Diya,,,,,Humaray Munh S Say Besakhtaa Niklaa,,,,,,,,,,,Haye Allah.,,,,(Jaree Hay)

Hukhan
About the Author: Hukhan Read More Articles by Hukhan: 1124 Articles with 1189879 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.