Mein Salman Hun(Episode 80)

(HuKhaN, Karachi)

Rozi Nida Ki Ammi Kay Pas Baith Kay Unhein Har Tara Say Yaqeen Dela Rahee Thee Kay Iss Shadi Kay Pechay Karim Sahib Aur Un Ki Pori Family Kharee Hay Kal Ko Kuch Ounch Neech Huee Tu Wo Bazaat E Khud Us Ki Zimaa Daar Hu Gee,,,,,Ap Amjad Ko Nahi Balkay Mujhay Shikwa Kijiye Ga ,,,Kici Bee Fazool Rasam Ya Kharcha Karnay Ki Zarorat Hay Aap Har Tra Se Khushi Manaa Lijiye ,,,,,,Ek Paii Bee Kharch Karnay Ki Zarorat Nahi ,,,,,Hum Nay Amjad Ko Keh Diya Hay Wo Apnay Ghar Ko Jis Qadar Munasibh Kar Sakta Hay Wo Kar Lay Ga ,,,,,Bas Aap Nay Kici Se Kuch Nahi Kehna Hay ,,,,,,,,,,Sara Hisab Kitab Mein Khud Kar Lon Gee,,,,,Nida Ki Ammi Kay Dil Mein Ladu Phoot Rahay Thay,,,,Nida Kay Baap Nay Kabi Socha Bee Na Tha Un Ki Betee Itni Khushnaseeb Hay..Wo Asay Ghar Mein Biah Kay Jaa Rahee Thee,,,,Jaha Bhhut Mazboot Loghun Saya Kiye Huay Thay,,,,Duniya Mein Asay Logh Bee Thay,,,,Salman Khud Heraan Tha ,,,,,Kay Nida Kay Ghar Rozi Apni Mama Ko Bee Lay Ayee Thee,,,Ye,,,Us Kay Liye Baut Heraan Kun Tha,,,,,Wo Logh ,,,Us Kay Khiyaal Se Zyda Naik Thay,,,,Ya,,,,Phir Rozi Uss Ghar Mein Apni Baat Manwaa Saktee Thee,,,,Ju Kam Us Nay Shuro Kiya Tha Ubh Usay Rozi Nay Apnay Hath Mein Lay Lia Tha,,,,,Uss Par Bojh Kam Se Kam Huta Ja Raha Tha ,,,Nida Kay Ghar Waloun Ko Iss Qadar Zamanat Mil Janay Kay Baad Usay Yaqeen Tha ,,,,,,Ubh Kaam Bahut Asaan Hu Gia Hay ,,,,Abhee Wo In Sochun Mein Hee Gum Thaa Kay,,,,,,,Rozi Nay Nida Ka Hath Pakar Kay Usay Kaha ,,,,,,,,Mujhay Tum Say Akalay Mein Kuch Baat Karni Hay,,,,Nida Khamoshi Se Usay Lay Kar Salman Kay Kamray Ki Taraf Barhnay Lagee,,,,Nida Ki Ammi Kay Chahray Par Pareshani Kay Asaar Nazar Anay Lagay,,,,Rozi Nida Ki Ammi Kay Ehsaasaat Ko Samajh Gai,,,,,Aunty Ap Zara Bee Fiqar Na Karay Mein Bas Nida Ki Marzi Jaan Laina Chahtee Hun,,,,,Mein Iss Kay Jazbaat Ya Anay Walay Kal Kay Andeshun Ko Kam Karna Chahtee Hun,,,Shariyat Bee Ye Hee Kehtee Hay,,,,,,,,Salman Kay Pairun Talay Se Zameen Nikal Gai,,,,,,,,,,Nida Ki Marzee,,,,,,,,,,Meray Khuda,,,,,,Salman Nay Dono Hathun Say Sar Pakar Kay Jhukaa Lia,,,,Nida ,,,,,Ajh Sara Kaam Bighaar De Gee,,,,,Ubh Kia Hu Ga(Jaree Hay)

HuKhaN
About the Author: HuKhaN Read More Articles by HuKhaN: 1124 Articles with 1189894 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.