Qurbani

(M.hasan, Karachi)

Qurbani Sunnat Ibrahim(As) Ki Perwi Hey. Is Sunnat Ki Perwi Her Musalman Apni Apni Hesiat Se Karna Chahta Hey. Or Ker Raha Hey Lekin Waqt Guzarney K Sath Sath Hamari Mandiyoo,Marketoo Or Bazaroo Per Esey Behis Tajiroo Ney Apney Khooni Punjey Gaarh Diye Hein Jo Kisi B Shakil Mei Tajir Kum Dakoo Ziada Lagtey Hein. In Anasir Ka Qabza Sirf Qurbani Ki Mandiyoo Tuk Hi Mehdood Nahi Balki Moqa Munasibat Se Her Jaga Mojood Nazar Aata Hey.

Go K Hum In K Chungal Se Kahee B Mehfooz Nahi. Lekin Apni Samaj,Aqil Or Tadabbur Se Kam Le Ker In Zalimoo K Mansooboo Se Bacha Ja Sakta Hey Maslan Qurbani K Liye Zaroori Nahi K Aap Lakhoo Kharch Karein Or Aapus Ki Muqabila Bazee, Dikhawey Or Shuhrat Ka Hissa Banein..Qurbani Ki Asil Rooh Aap Ka Khuloos Or Sunnat Ibrahim Se Dilee Mohabbat Hey Jo Na To Barey Se Barey Janwar K Qurbani Se Hogee Or Na Rishtadaroo Mei Aapus Mei Compitition Sey Allah Ki Khushnoodee Miley Gee. Allah Kehta Hey K Na To Qurbani Ka Gosht Mujey Milta Hey Or Na Khoon. Mei Sirf Tumara Khuloos Dekhta Hoo. K Tum Ney Meri Itaat Mei Sunnat Ibrahee Ki Perwi Kis Tarah Ki Hein. Kisi Ka Haq Mar Kr Qurbani Karna, Rishwat K Pesoo Se Barey Se Bara Janwar Khareedna, Apney Qareebee Azeezoo Ka Haq Maar Ker Qurbani Kerna, Yateem K Maal Per Qabza Ker K Qurbani Kerna, Dikhawey Or Doolat Ki Numaish K Liye Qurban Kerna Sb Pesoo Ka Ziaa Hey. Mujey Is Tarah Ki Qurbani Hergiz Hergiz Pasand Nahi..Haa'n Albata Tum Ney In Sb Batoo Se Bachtey Huwey Perhezgari K Sath Qurbani Ki Hey To Wahi Qurbani Mujey Pasand Hein Or Is Ka Ajre Azeem B Merey Pas Mehfooz Hey. Ab Ye Bat Wazih Hogayee Ki Sirf Wahi Qurbani Allah K Haa'n Qabil-E-Qubool Hein Jo Perhezgaaree Or Taqwa Ki Bunyad Per Ho..

Agar Hum Her Muamiley Mei Islam Ki Rooh Ko Samaj Ker Amal Kerney Ki Koshish Karein To Her Taraf Aman Hi Aman Hoga. Q K Islam Salamatee Ka Deen Hey..Esee Qurbani Jis Mei Aap Ki Pori Jaib Kut Jaye Or 10 20 Guna Ziada Raqam Lag Jaye To Is Tarah Na To Aap Ki Jaib Mehfooz Rehtee Hey Na Aap K Ghar Mei Aman Baqi Rehta Hey. Haqeeqat To Ye Hey K Ab Qurbani Ho Ya Shadi Biah, Ramzan Ho Ya Eid Majlis Ho Ya Meelad Her Cheez Ko Marketize Ker Dia Gia Hey.

Hamaree Her Cheez Chahey Wo Mazhabee Rusoomaat Hoo Ya Insani Zarooriat Sb Mafiaz K Control Mei Ja Chuki Hein Or Hum Mei Se Her Koi Majboor Mahaz Ek Zinda Laash Ki Tarah Apna Apna Waqt Poora Ker Raha Hey. Her Koi Apna Apna Hissa Wasool Ker K Muh Per Tap Charaye Apni Apni Tolian Bana Ker Sirf Apni Apni Zat,Khandan Or Toloo Tuk Mehdood Ho Chukey Hein Or Esa Quin Na Ho Jb Mulk Ka PM Sirf Apni Khandan K Logoo Ko Nawazney K Liye Her Important Seat Per Apna Banda Bitha Rakha Ho. Yahi Culture Ooper Se Lekar Neechey Tuk Cancer Ki Tarah Fail Chuka Hey.
 

MUHAMMAD HASSAN
About the Author: MUHAMMAD HASSAN Read More Articles by MUHAMMAD HASSAN: 14 Articles with 14294 views Love for all hatred for none.. View More