Add Poetry

Khata To Ho He Jati Hai

Poet: Qurban Murtaza Labir By: Qarban Murtaza, Tobatek Singh

Khata To Ho He Jati Hai
Kisi Sorat, Kisi Lamhy
Khata To Ho He Jati Hai
Ma Houn Ap Ka Mujrim
Kisi K Ap Ujrim Hain
Bhala Socho, Bhal Samjho
Kisi Kobadua Dana
Kisi Ko Youn Bhula Dana
Kia Takleef Data Hai?
Hamai Kia Adawat Hai?
Muhabbat Sy Baghawat Hai
Nafrat Aam Bikti Hai
Subah Sy Sham Bikti Hai
Faqat Ik Bar Tum Keh Do
Keh Ik Insaf Krty Hain
Tumhen Hum Mauf Krty Hain
Our Ayenda Kbhi Labir
Hamary Rah Ma Mut Ana
Hum Krty Hain Ik Wahda
Tumahary Dil K Aungun Ma
Na Rakhen Gy Qadam Humdum
Our Na He Pass Bahatken Gy
Phir Zindagi Jabar Ho Gee
Ik Taza Qabar Ho Gee
Jis Per Phool Bikhren Gy
Us Taza Imarat Per
Ik Ktbah Para Ho Ga
Jis Pa Baat Ye Ho Gee
Khata Itni Bdi Na The
Jitni Kul Saza Di Gai
Khata To Ho He Jati Hai
Kisi Soorat, Kisi Lamhy
Khata To Ho He Jati Hai

Rate it:
Views: 966
18 Jun, 2018
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets