Add Poetry

Aankh Say Bhayta Hay Darya

Poet: Akram Durrani By: Akram Durrani, Trabuco Canyon

Najanay Kis Kee Talash Me Sargardaan Thee Zindagi Os Kee
Ju Multa Nahi Tha Os Ka Mujahy Khojee Bana Kar Chala Jata
Achanak Samana Huta Cheray Pay Tayasor Os Ke Aisa Ajata
Churai Huyee Cheez Kee Bazayabi Pay Jaisay Kui Hay Ghbara Jata
Gali Ke Mor Pay Khara Dekh Kar Rah Aisay Badlata Mujh Se Apani
Ghar Ka Rasta Chor Kay Mera Dosray Rastay Se Apnay Ghar Chala Jata
Jhoot Bolnay Kee Adat Na Thee Os May Kui
Jahhan Saray Kee Baat Karta Aur Baat Meri Gool Karkay Chala Jata
Sajday Me Geray Bhi Kayee Baar Dekha Tha Main Nay Os Ku
Khuda Say Ju Mangta Tha Wo Milnay Kee Dua Mujha Se Bhi Kara Kar Chala Jata
Numee Ankhoon Kee Kayee Bar Saaf Kartay Dekha Tha Main Nay Os Ku
Chand Qatray Meri Ankh Say Bhaytay Darya Ke Bhi Kabhi Khushk Kar Ke Chala Jata
Har Sayee Raigaan Jatee Madawa-E-Dukh Kartay Huye Os Pal Meri
Preshaan Na Rahoon Qasam Jaan Kee Apni Khila Kar Chala Jata
Majboor Kabhi Keya Nahi Hal-E-Dil Sara Apna Suna Dalay Mujhay
Meri Uljhee Huyee Guthee Ku Bas Thori Suljha Kay Chala Jata
Kandhay Pay Pay Sar Rakh Kay Meray Khud Main Khujata Kahein
Andeshoon Ku Aur Meray Es Tarhaan Dil Main Bar Ha Kay Chala Jata
Osay Yaad Na Karnay Ka Wada Mujh Say Lenay Say Tu Behtar Tha
Asmaan Sar Kay Oper Say Mera Lekar Chala Jata
Kum Fehmi Pay Zood-E-Pashay Maan Na Phirti Sari Ye Zindagi Meri
Kurway Sach Ka Zahar Mujhay Apna Peela Kar Chala Jata
Chnadni Ratoon Me Afsarda Wo Rehta Tha Es Leye
Anjam-E-Chakoor Dekh Kay Waqt-E-Sehar Mayoos Hukar Chala Jata
Meray Ashkoon Se Tehreer-E-Diary Jahaan Pe Ye Likha Tha Bhay Gayee
Durrani Mehmaan Chand Din Ka Hay Reh Gaya Ye Raaz Os Pay Nahi Khula Jata
Meray Kandhay Pay Sawari Kee Adat Aaj Bhee Na Gayee Thee Os Kee Warna
Janaza Bhee Os Ka Os Kee Tarhaan Gali Ka Meray Rasta Badal Kar Chala Jata
 

Rate it:
Views: 461
06 May, 2016
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets