Add Poetry

Apne Khaabon ki

Poet: Shamsul "ShamS" By: Shamsul Hasan, New Delhi

Apne Khaabon Ki Tabeer Badalni Hai Mujhe
Ya Kahun Youn Ke Takdeer Badalni Hai Mujhe

Ghar Mai Aata Hi Nahi Koi Bhi Mehmaan Bankar
Ghar Ki Taakhon Mai Rakhi Tasveer Badalni Hai Mujhe

Jang Kha Jaaye Na Talvaar Mohabbat Waali
Ab Ke Talvaar Ki Shamseer Badalni Hai Mujhe

Rafta Rafta Badh Rahe Hain Tadaad-E-Dushman
Jo Mere Naam Hai Wo Jageer Badalni Hai Mujhe

Mere Lafzon Se Bagawat Ki Boo Na Aa Jaaye
Jo Likhi Hai Abhi Wo Tehreer Badalni Hai Mujhe

Kahin Buniyaad Hi Kachi Na Ho Iss Darr Se
Naye Makaan Ki Tameer Badalni Hai Mujhe

Koi Meri Baat Ko Samajh Na Jaaye Ishaaron Mai
Tere Janib Se Ab Tasheer Badalni Hai Mujhe

Goongi Duniya Andhe Logon Se Bhari Hai Jo Sunte Hi Nahi
Soch-E-Insaan Ki "Shams" Tanqeed Badalni Hai Mujhe

Rate it:
Views: 354
23 Sep, 2014
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets