Add Poetry

Kuch Aise Guzaari Maine Raat

Poet: Shamsul "ShamS" By: Shamsul Hasan, New Delhi

Sehmi Sehmi Darri Darri Tanhaai Ke Saaye Mai
Kuch Aise Guzaari Maine Raat

Koi Shor Na Tha Na Chahal Pahal
 Na Manjire Hi Gaate They

Khamish Zameen Chup Chaap Gagan
 Bas Hum Awaaz Lagte They

Darrte They Andhere Se Shayad
Ya Neend Mai Chalna Adaat Thi
Ya Khalti Thi Mujhe Teri Kami

Koi Rog To Tha Koi Marz To Tha
Koi Zakhm To Tha Koi Dard To Tha

Warna Main Pagal Q Phirta
Sannate Mai Viraane Mai
Hosh Mai Ya Anjaane Mai
Warna Main Pagal Q Phurta

Q Awaaz Lagata Main
Bewajha Youn Tujhko Dafa Dafa
Q Karta Harkat Aisi
Q Karta Tu Hi Bata

Kuch To Tha Us Mousam Mai
Koi Jadoo Sa Har Ek Soo Mai

Mujhko To Yakeen Na Aata Tha
Teri Chahat Aur Mohabbat Pe

Har Chizz Fuzool Samajhta Tha
Teri Chahat Bhool Samajhta Tha

Lekin Ab Jaan Gaya Hoon Main
Tujhko Pehchaan Gaya Hoon Main
Teri Chahat Ko Maan Gaya Hoon Main

Ab Guzari Hai Mujhpe Chahat
Ab Jakar Hosh Mai Aaya Hoon

Ab Chahat Hai Teri Mujhko
Ab Hasrat Hai Teri Mujhko

Aise Tadpa Ke Na Jaao
Mujhe Dard Bana Ke Na Jaao

Tumse Hai Guzaarish Jaan Meri
Tum Jaldi Wapas Aa Jaao
Tum Jaldi Wapas Aa Jaao.
 

Rate it:
Views: 631
27 Aug, 2014
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets