Add Poetry

Aap Beeti

Poet: Syed Shafi Ahmed Zubairi By: Syed Shafi Ahmed Zubairi, karachi

Tanha Tha Apnay Safar Main
Koi Mera Humsafar Na Tha
Na Manzil Koi Na Raasta
Janay Kahan Ko Nikla Tha Main
Chaltay Chaltay Phir Aik Jaga
Main Khogaya Janay Kahan
Phir Hosh Mujhko Na Raha
Main Aagaya Kisi Hisar Main
Her Cheez Achi Lagnay Lagi
Safar B Acha Katnay Laga
Wo Khush Numa Manzar Tha Kia
Jahan Humsafar Tha Aur Main
Sookhay Pattay Haray Phir Hogaye
Badal B Saye K Cha Gaye
Sahra Main Phool Khil Say Gaye
Bahar Aaye Jaysay Chaman Main
Ye Daikh Kay Khush Honay Laga
Phir Janay Mujh Ko Ye Kia Hua
Gir Gaya Tha Kahin Ye Main
Hosh Aya Tu Pata Chala
Nikla Kahan Ko Tha,Kahan Agaya Main
Zindagi Ki Thi Yahi Daastan
Jo Jatay Jatay Sunagaya Main
Janay Kahan Mujhay Lay Gaye
Bheer Thi Logo Ki Kuch
Apnay Bhi Thay Aurr Paraye Bhi
Shafi Phir Yaad Mujhko Kuch Nahi
Do Char Fit Ki Zameen Thi
Aur Tanha Tha Main

Rate it:
Views: 3749
12 Aug, 2008
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets