Add Poetry

MERE PAPA...Meri zindagi

Poet: Rabica Akram By: Rabica Akram, Riyadh.ksa

Kaho To Aaj Aik Azeem Insan Se Milaon Tum Ko,
Basey Hain Jo Is Dunya Mein Farishtey Un Ki Pehchaan Karaon Tum Ko,

Kya Bataon Tumhein Kya Kia Hai Meri Khatir Unhon Nay,
Aaj Kuch Nahin Un Kay Paas Sab Kuch Luta Dia Mujh Per,

Kari Mushaqqat Se Sanwardi Meri Dunya Unhon Nay,
Jo Aaj Kamzor Hain Sarf Kar Kay Apni Jawani Mujh Per,

Apni Zindagi Mein Apni Kami Ka Ahsas Kabhi Na Hua Mujh Ko,
Kyun K Mere Papa Ne Kabhi Na Hansne Dia Is Dunya Ko Mujh Per,

Samajh Kese Leta Ye Zamana Haqeer Mujh Ko,
Taleem Ki Dolat De Kar Is Dunya Ko Banaya Meherban Mujh Per,

Mein Samajhti Rahi Hamdard Is Dunya Ko Apna,
Dar-Haqeeqat Mere Papa Ki Badolat Ye Dunya Nichawar Hoti Rahi Mujh Per,

Chal Nahin Sakti Phir Bhi Ghoom Chuki Hun Sara Jahan Mein,
Unhi Ki Godh Mein Jin K Lakhon Ahsan Hain Mujh Per,

Dua Hai Un K Lyn Jinhein Hamesha Chup Chup Kar Rota Dekha Hai Main Nay,
Ya Allah! Haraam Kar De Dosakh Ki Aag Ko Un Per......

Wo Fiqr Na Karein Mein Banungi Un Kay Burhape Ka Sahara,
Hogi Mere Paas Itni Dolat Jo Lutaongi Sirf Un Per,

Ye Dunya Pane Ka Khuwab Nahin Dekha Hai Main Nay,
Lekin Is Dunya Ko Bhi Jannat Banaongi Un Per........

********(Ameen)********
 

Rate it:
Views: 3531
26 Mar, 2012
Related Tags on Life Poetry
Load More Tags
More Life Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets