Add Poetry

Udasi

Poet: Javeria Umber By: Javeria Umber, Khanewal

Ajab Hai Rang E Chaman, Jaa-Ba-Ja Udaasi Hai
Mahek Udaasi Hai, Baad-E-Sabaa Udaasi Hai

Nahi Nahi Yeh Bhala Kis Ne Kah Diya Tumse
Main Thik Thak Hun, Haan Bus Zara Udaasi Hai

Main Mubtila Kabhi Hota Nahi Udaasi Mein
Main Wo Hun Jis Mein K Khud Mubtila Udaasi Hai

Tabeeb Ne Koi Tafseel To Bataayi Nahi
Bahut Jo Poochhha To Itna Kaha Udaasi Hai

Gudaaz Qalb Khushi Se Bhala Kisi Ko Mila?
Azeem Wasf Hi Insaan Ka Udaasi Hai

Shadeed Dard Ki Rau Hai Ravaan Rag-E-Jaan Mein
Bala Ka Ranj Hai Be Inteha Udaasi Hai

Firaaq Mein Bhi Udaasi Bare Kamaal Ki Thi
Pas-E-Visaal To Us Se Siwaa Udaasi Hai

Tumhen Mile Jo Khazaane Tumhein Mubrak Hon
Meri Kamaayi To Yeh Be-Bahaa Udaasi Hai

Chhupa Rahi Ho Magar Chhup Nahi Rahi Meri Jaan
Jhalak Rahi Hai Jo Zer-E-Qaba Udaasi Hai

Dimaagh Mujh Ko Kahaan Kaainaati Mas’alon Ka
Mera To Sab Se Bara Mas’alaa Udaasi Hai

Falak Hai Sar Pe Udaasi Ki Tarah Phaila Hua
Zameen Nahi Mere Zer-E-Paa Udaasi Hai

Ghazal Ke Bhes Mein Aayi Hai Aaj Mahram-E-Dard
Sukhan Ki Orhe Hue Hai Ridaa, Udaasi Hai

Ajeeb Tarh Ki Haalat Hai Meri Be-Ahwaal
Ajeeb Tarha Ki Be-Maajraa Udaasi Hai

Wo Kah Rahe The K Shair Ghazab Ka Hai ‘Jeyia’
Har Aek She’r Mein Kya Gham Hai Kya Udaasi Hai
 

Rate it:
Views: 3140
22 Aug, 2017
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets