Add Poetry

Ma Aur Chand Eid Ka

Poet: maahi hoda ansari By: maahi hoda ansari, vns

Shahri Guzar Gai
Ho Gaya Iftaar Bhi Mukammal
Khaali Abhi Pade Hai
Mere Haath Ke Pyaale
Abhi Tak Khula Na Roza
Ye Khuda Jaanta Hai
Koi To Ek Nazar
Bas Idhar Bhi Utha Le
Badhne Lagi Hai Dekho
Raunake Baazar Kii
Apni Na Dikh Rahi
Hai Khushiyo Ke Aasar Bhi
Sab Kar Rahe Hai Puri
Apni Har Ek Zarurat
Mai Mooh Dekhta Hu
Jaise Hu Koi Ahmak
Mai Bhi Hu Rozedaar
Mujhse Bhi Koi Puche
Kholne Ko Roza
Ek Khajur Koi De De
Ab Tutne Lagi Hai
Himmat Bhi Meri Saari
Kisse Karu Shikayat
Hai Kismat Bhi Thaki Haari
Mushkil Se Hai Mila
Paani Mujhe Zara
Ammi Se Puchta Hu
Ab Kal Phir Kya Hoga
Naaummid Si Nigaahe
Wo Mujhpar Daal Kar
Kahti Hai Khuda Ka
Bas Shukr Ada Kar
Mai Hairaan Hu Zara
Thoda Bechain Hu
Mera Nahi Koi
Aakhir Mai Kaun Huoo?
Abbu They Jo Mere
Wafaat Paa Gaye
Khushiyo Ke Saare Baadal
Ab Gam Me Chaa Gaye
Maa Ke Alawa Apne
Kuch Paas Kaha Hai
Muh Pher Gaye Saare
Matlab Ka Jaha Hai
Ummid Thi Mujhe
Is Eid Par Milenge
Saath Me Sabhi Ke
Kapde Mere Silenge
Darawaaze Pe Meri Nazre
Is Aas Me Lagi Hai
Koi To Ayega
Ummid Kah Rahi Hai
Kapde Hai Jo Badan Pe
Hai Wo Bhi Khastaa Haal
Guzra Hai Bad Se Badtar
Yaaro Ye Apna Saal
Jaaunga Kaise Mai
Padhne Namaz-E-Eid
Mukammal Hai Aaj Roza
Tuti Sabhi Ummid
Ye Soch Hi Raha Tha
Kii Shor Ho Gaya,
Bola Koi Baahar Se
Hai Chaand Ho Gaya
Takne Laga Mai Ektak
Maa Ka Apne Chehra,
Khushiya Na Thi Jaha
Tha Bas Maayusiyo Ka Pahra
Bojhal Se Kadam Lekar
Mai Chal Pada Jo Baahar
Nazre Jam Gai
Meri Aasma Par
Kisse Mai Jakar Puchu
Ye Kusur Hai Kiska?
Tanha Se Dono Rah Gaye
Mai Aur Chaand Eid Ka

Rate it:
Views: 1200
22 Jun, 2017
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets