Add Poetry

Kamal-E-Zabt Ko Khud Bhi To Azmaungi

Poet: Parveen Shakir By: shabeer, khi

Kamal-E-Zabt Ko Khud Bhi To Azmaungi
Main Apane Haath Se Us Ki Dulhan Sajaungi

Supurd Kar Ke Use Chaandani Ke Haathon Mein
Main Apane Ghar Ke Andheron Mein Laut Aungi

Badan Ke Karb Ko Woh Bhi Samajh Na Payega
Main Dil Men Rouungi Aankhon Mein Muskuraungi

Woh Kyaa Gayaa Ke Rafaqat Ke Saare Lutf Gaye
Main Kis Se Routh Sakuungi Kise Manaungi

Woh Ek Rishtaa-E-Benaam Bhi Nahi Lekin
Main Ab Bhi Us Ke Ishaaron Pe Sar Jhukaungi

Bichhaa Diyaa Thaa Gulaabon Ke Saath Apanaa Wajood
Woh So Ke Uthe To Khwaabon Ki Raakh Uthaungi

Ab Us Kaa Fan To Kisi Aur Se Manasob Hua
Main Kis Ki Nazm Akele Men Gun-Gunaungi

Javaz Dhuundh Raha Tha Nai Muhabbat Ka
Woh Keh Rahaa Tha Ke Main Us Ko Bhool Jaungi

Rate it:
Views: 1978
24 Oct, 2016
Related Tags on Parveen Shakir Poetry
Load More Tags
More Parveen Shakir Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets