Add Poetry

Sitaron Se Aage Jahan Aur Bhi Hain

Poet: Allama Iqbal By: talha, khi

Sitaron Se Aage Jahan Aur Bhi Hain
Abhi Ishq Ke Imtehan Aur Bhi Hain

Tahi Zindagi Se Nahi Ye Fezaein
Yahan Saekron Karwan Aur Bhi Hain

Qana-At Na Kar Aalam-E-Rang-O-Bu Per
Chaman Aur Bhi Aashyan Aur Bhi Hain

Agar Kho Gaya Aik Nasheman Tou Kya Gham
Maqamat-E-Aah-Wa-Fagha Aur Bhi Hain

Tu Shaheen Hai Parwaz Hai Kaam Tera
Tere Samne Asman Aur Bhi Hain

Esi Roz-O-Shab Mein Ulajh Kar Na Reh Ja
Ke Tere Zaman-O-Makan Aur Bhi Hain

Gae Din Ke Tanha Tha Main Anjuman Mein
Yahan Ab Mere Raaz-Dan Aur Bhi Hain

Rate it:
Views: 3267
24 Oct, 2016
Related Tags on Allama Iqbal Poetry
Load More Tags
More Allama Iqbal Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets