Add Poetry

Safar-E-Zindagani Me Chali Jati Thi Bus Gum Sum

Poet: نازيه حيدر By: Binte Shafi Haidar, karachi

Safar-E-Zindagani Me Chali Jati Thi Bus Gum Sum
Kisi Anjan Raste Per Jo Tum Aye Qarar Aaya

Dunya K Jhamelo Se Na Thi Dil Ko Koi Ulfat
Khushyon Ki Khanak Leker Jo Tum Aye Qarar Aaya

Naam-E-Mohabbat Se To Thay Aashna Lekin
Mohabbat Ki Parakh Leker Jo Tum Aye Qarar Aaya

Mere Dil K Qabeele Per Andheron Ki Hakumat Thi
Sataaro Ki Chamak Le Ker Jo Tum Aye Qarar Aaya

Sajda-E-Shukr Se Nasir Uthaoun Sir Bhala Kese?
Qabooliat-E-Dua Ban Ker Jo Tum Aye Qarar Aaya
 

Rate it:
Views: 327
19 Jun, 2016
Related Tags on Life Poetry
Load More Tags
More Life Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets