Add Poetry

Zakham Dil Kay Bhartay Nahi

Poet: Akram Durrani By: Akram Durrani, Trabuco Canyon

Ghame-E-Dil Se Ghabra Ke Pukara Tha Aur Tu Miljata Tu Lagta Hu Gayee
Wo Dua Ju Mandir, Girjay, Aur Masjid Me Qabool Sab Kee Kabhi Huti Nahi
Bad Naseebi Ye Meri Ke Khaab Me Bhi Dekh Sakta Nahi Tujhay
Raat Bhar Ankh Meri Ju Kabhi Lagtee Nahee
Batien Akelay Me Bohat Karta Hoon Tujh Se Os Pal
Saath Mere Jab Tu Goya Kabhi Huti Nahi
Chaand Dekh Kar Eid Muna Leti Hay He Ye Dunya Sari
Tujhay Dekhay Bina Eid Meri Kabhi Hutee Nahi
Teri Zulfoon Ke Zindaan Me Aseer Hu Gaya Aiasa
Rehai Whaan Se Ab Meri Kabhi Huti Nahi
Barish Me Nahata Khush Dekh Kar Tujhay
Bursaat Ankhoon Se Meri Ab Kabhi Thamtee Nahi
Sheh Rag Se Nazdeek Hu Ke Bhi Ahsaas-E-Wajood Huta Nahi Tera
Garm Ek Saans Talak Teri Badan Mera Kabhi Chotee Nahi
Naqad O Uthaar Kee Es Karobari Dunya Me
Artan Ek Lamha Ku Bhi Tu Mujhay Kabhi Miltee Nahi
Dard Dil Ka Roz He Barhay Chala Jata Hay Mera
Chot Aisee Jaga Lagi Jahaan Lag Kar Wo Kabhi Bharti Nahi
Zakham Dil Ke Kaise Kum Hoon Ge Bhala Meray
Insaaf Es Mazloom Se Tu Ju Kabhi Kartee Nahi
Monh Mor Kar Chala Tu Joun Tujh Se Magar
Kay Karoon Ye Buz Dilee Sarzad Mujh Se Kabhi Hutee Nahi
Patnagay Ka Sa Hashar Karkay Kaise Dikh Loun Me Apna Tujhay
Manind-E-Shama Mere Leye Tu Ju Kabhi Jaltee Nahi
Dil Ke Sahil Kee Lehroon Ka Pani Rehta He Es Leye Khara
Samandar Me Ishiq Ke Mereay Tu Ju Kabhi Utartee Nahi
Durrani Phans Gaya Hay Mukri Ke Bunya Se Jaal Me
Wo Haal Hua He Demak Bhi Wo Lakri Ka Kabhi Kartee Nahi

Rate it:
Views: 958
24 Mar, 2016
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets