Add Poetry

Zara Thehar Jao

Poet: S. Sadia Amber Jilani By: Syeda sadia Amber Jilani, FaisalAbad

Kuch Lafzo'n K Kehnay Tak Zara Thehar Jao
Meray Halaat Badalnay Tak Zara Thehar Jao

Hum Apni Zaat Mein Bohat Bikhray Hain Bohat Tootay
Bas Meray Sambhalnay Tak Zara Thehar Jao

Meray Dill K Aangan Mein Udassi Ka Andhayra Hai
Talo-E-Sehar Honay Tak Zara Thehar Jao

Tumharay Saath Chalna Hy Mujhay Bhi Meray Humdam
Meray Qadam Bharrhnay Tak Zara Thehar Jao

Qismat Ki Lakeero'n Say Hum Tumhay Churaa Len Gay
Dast-E-Duaa Uthanay Tak Zara Thehar Jao

Bohat Dushwaar Hai Tumharay Bin Mera Jeena
Meri Yeh Baat Samjhnay Tak Zara Thehar Jao

Phir Shayed K Milnay Ka Na Imkaa'n Rahay Koi
Tum Nazaro'n Me Samonay Tak Zara Thehar Jao

Tum Hasil-E-Jaa'n Ho Tumhi Haraf-E-Duaa Meray
Suno Meray Honay Tak Zara Thehar Jao

Tumhen Tu Lout Jana Hai Chalo Lout Jana Tum
Bas Ye Shaam Dhalnay Tak Zara Thehar Jao

Okat-E-Hijar Bhi Koi Azaab Hain Lekin
Uss K Awaaz Denay Tak Zara Thehar Jao

Itni Ujlat Bhi Kiya Hai Amber Tumhen Bicharrnay Ki
Uss K Lout Aanay Tak Zara Thehar Jao
 

Rate it:
Views: 1130
24 Aug, 2015
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets