Add Poetry

Apne Inkar Ke Bar-Aks Barabar Koi Tha

Poet: Zafar Iqbal By: Zafar Iqbal, karachi

Apne Inkar Ke Bar-Aks Barabar Koi Tha
Dil Men Ek Khwab Tha Aur Khwab Ke Andar Koi Tha
Aur Ab Puchhta Phirta Hun Mera Ghar Koi Tha
Yani Andar To Nahin Tha Mere Bahar Koi Tha
Daere Men Kabhi Rakkha Hi Nahin Usne Qadam
Yawa-Go Tha Zafar Is Ahd-E-Kharabi Men Koi
Aur Mohabbat Ke Mazafat Men Aksar Koi Tha
Aise Lagta Hai Kahin Takht-E-Hawa Par Koi Tha
Is Dil-E-Tang Men Kya Uski Rihaish Hoti
Main Use Chhod Ke Khud Hi Chala Aaya Tha Kabhi
Shakl Kuchh Yaad Hai Kuchh Bhul Chuki Hai Uski
Koi Din The Ki Mukammal Mujhe Azbar Koi Tha
Shak Agar Tha Bhi To Mitta Gaya Hote Hote
Hum Pasine Men Sharabor The Aur Dur Kahin
Aur Ab Pukhta Yaqin Hai Ki Sarasar Koi Tha
Qabil-E-Did Har Ek Samt Se Manzar Koi Tha
Yawa-Go Hi Use Kahte Hain Sukhan-War Koi Tha
Uske Baghat Pe Utra Hua Tha Mausam-E-Rang
 

Rate it:
Views: 981
01 May, 2015
More Zafar Iqbal Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets