Add Poetry

Baat Aisi Bhi Koi Nahin Ki Mohabbat Bahut Ziyaada Hai

Poet: Zafar Iqbal By: Zafar Iqbal, karachi

Baat Aisi Bhi Koi Nahin Ki Mohabbat Bahut Ziyaada Hai
Lekin Hum Donon Se Uski Taqat Bahut Ziyaada Hai
Ek Chiz Jo Apni Rasai Se Bahar Hai Kahin Zafar
Kaam To Kafi Rahta Hai Lekin Karna Hai Kis Ne Yahan
Rah Pe Aa Baithe Hain Ye Bhi Ghanimat Bahut Ziyaada Hai
Uski Tawajjoh Hasil Ki Aur Bich Men Sab Kuchh Chhod Diya
Sach Puchho To Inko Hamen Zarurat Bahut Zyaada Hai
Sair Hi Karke Aa Jaenge Phir Bazar-E-Tamasha Ki
Be-Shak Rose Idhar Aa Niklo Fursat Bahut Ziyaada Hai
Jis Shai Ko Bhi Hath Lagaen Qimat Bahut Ziyaada Hai
Hasrat Bhi Kafi Hai Lekin Hairat Bahut Ziyaada Hai
Kya Kuchh Ho Na Saka Humse Aur Hone Wala Hai Kya Kuchh
Ishq Udasi Ke Paigham To Lata Rahta Hai Din Raat
Aap Ke Pichhe Pichhe Phirne Se To Rahe Is Umr Men Hum
Ishq Hai Kis Ko Yaad Ki Hum To Darte Hi Rahte Hain Sada
Husn Wo Jaisa Bhi Hai Uski Dahshat Bahut Zyaada Hai
Hikmat Jitni Bhi Ho Ismen Himaqat Bahut Zyaada Hai
Lekin Hum Ko Khush Rahne Ki Aadat Bahut Ziyaada Haia
 

Rate it:
Views: 1196
01 May, 2015
More Zafar Iqbal Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets