Add Poetry

Tum Mujh Sy Juda Ho Kr Bhi

Poet: Muhammad Irfan Arshad By: M Irfan Arshad, Hafizabad

Tum Mujh Sy Juda Ho Kr Bhi Mery Sath Rehty Thy
Tum Mujh Sy Door Thy Lekin Mery Tum Pas Rehty Thy

Kbhi Dard Ki Surat Main
Kbhi Meri He Murat Main
Kbhi Yaroon Ki Sohbat Main
Kbhi Tanhai Ki Lazzat Main

Mery Dil Ko Hmesha He Bohat Tum Ras Rehty Thy
Tum Mujh Sy Door Thy Lekin Mery Tum Pas Rehty Thy

Main Jab Ghar Sy Nikalta Tha
Meri Tum Soch Ban Jaty
Mujhy Jo Shakhs Nazar Ata
Us Main Tum Nazar Aty

Tum Mujh Sy Door Thy Chahy Meri Tum Aas Rehty Thy
Tum Mujh Sy Door Thy Lekin Mery Tum Pas Rehty Thy

Jab Main Tanha Hota To
Tum Meri Awaz Ban Jaty
Mery Andaz Ban Jaty
Mery Alfaz Ban Jaty

Jitny Dard Thy Mery Youn Abad Rehty Thy
Tum Mujh Sy Door Thy Lekin Mery Tum Pas Rehty Thy

Tum Mery Khyalon Main
Jawabon Main Sawalon Main
Shamon Ki Udasi Main
Subha K Ujalon Main

Aur Mery Dil K Aangan Main Hmesha Khas Rehty Thy
Tum Mujh Sy Door Thy Lekin Mery Tum Pas Rehty Thy

Mujhy Tum Ye Btao K
Mujhy Kya Yad Krty Thy? Kbhi Mery Kahy Alfaz
Tujhy Barbad Krty Thy?

Kya Andar Sy Tum Bhi Youn He Udas Rehty Thy?
Tum Mujh Sy Door Thy Lekin Mery Tum Pas Rehty Thy

Rate it:
Views: 956
02 Mar, 2015
Related Tags on Urdu Ghazals Poetry
Load More Tags
More Urdu Ghazals Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets