Add Poetry

Bagiya Lahoo Luhan

Poet: Habib Jalib By: Saad, Karachi

Haryali Ko Aankhen Tarsen Bagiya Lahoo Luhan
Pyar Ke Geet Sunaoon Kis Ko Shehar Hue Weeran
Bagiya Lahoo Luhan

Dasti Hain Suraj Ki Kirnen Chand Jalaye Jaan
Pag Pag Maut Ke Gehre Saye Jeewan Maut Saman
Charon Ore Hawa Phirti Hai Le Kar Teer Kaman
Bagiya Lahoo Luhan

Chhalni Hain Kaliyon Ke Seeney Khoon Mein Lat Paat
Aur Nahjaney Kab Tak Hogi Ashkon Ki Barsaat
Dunya Walon Kab Beeteinge Dukh Ke Yeh Din Raat
Khoon Se Holi Khel Rahe Hain Dharti Ke Balwan
Bagiya Lahoo Luhan

Rate it:
Views: 984
05 Feb, 2015
Related Tags on Habib Jalib Poetry
Load More Tags
More Habib Jalib Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets