Add Poetry

Mohabbat Inayat Karam

Poet: Shamsul "ShamS" By: Shamsul Hasan, New Delhi

Mohabbat Inayat Karam Kijiyega
Bhale Baad Mai Phir Sitam Kijiyega

Zara Dair To Tumko Jee Bhar Ke Dekhoon
Na Phirr Hosh Aaye To Dum Kijiyega

Hai Dil Mai Tamanna Tumhe Chahane Ki
Tum Jaise Bhi Chaho Zulam Kijiyega

Rakho Raabta Tum Bhale Ghair Se Bhi
Par Mohabbat Humi Se Sanam Kijiyega

Tumhe Humne Nazrana-e-Dil Diya Hai
Ab Jitne Bhi Chaho Zakham Kijiyega

Meri Saari Khushiyan Hai Kurbaan Tumpe
Tum Kabhi Apni Aankhein Na Nam Kijiyega

Ye Lehza Tumhara Bohat Qatilan Hai
Lab-e-Guftgoo Thodi Kam Kijiyega

Badan Do Hain Rooh Ek Karni Hai Humko
Ye Majboor-e-Hizr Kab Khatm Kijiyega

Adaaein Tumhaari Na Meri Jaan Le Lein
Aji Humpe Ab To Reham Kijiyega

Wafaaein Zamane Se Rukhsat Karengi
Ae "ShamS" Jo Jafaa-e-Bharm Kijiyega

Rate it:
Views: 661
20 Nov, 2014
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets