Add Poetry

Dard Kam Hone Laga, Aao Ke Kuch Raat Kate

Poet: Nasir Kazmi By: Rainy Eyes, Kotri Kabir

Darda Kam Hone Laga, Aao Ke Kuch Raat Kate
Gham Ki Meyad Barha Jao, Ke Kuch Raat Kate

Hijar Mein Aah_O_Buka Rasam_E_Kehan Hai Lekin
Aaj Ye Rasam Hi Duhrao Ke Kuch Raat Kate

Youn To Tum Roshni_E_Qalab_O_Nazar Ho Lekin
Aaj Wo Moajiza Dikhao Ke, Kuch Raat Kate

Dil Dukhata Hai Wo Mil Kar Bhi Magar Aaj Ki Raat
Usi Be Dard Ko Le Aao Ke Kuch Raat Kate

Dam Ghuta Jata Hai Afsarida Dili Se Yaaro
Koi Afwah Hi Phelao Ke, Kuch Raat Kate

Main Bhi Bekar Hoon, Aur Tum Bhi Weeran Bohat
Dosto Aaj Na Ghar Jao Ke Kuch Raat Kate

Chhor Aaye Ho Sar_E_Shaam Use Kiun NASIR
Usay Phir Ghar Se Bulao Ke Kuch Raat Kate

Rate it:
Views: 1485
12 Apr, 2014
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets