Add Poetry

Zameer Ki Awaz

Poet: Noor Muhammad Mansoori By: hamza, Karachi

Ay Mere Pyare Watan Tunay Hamein Kya Kya Na Dia
Apni Hamein Pehchan Di Or Hamein Apna Naam Dia

Taanba Peetal Jast Loha Qeemti Pathar Diay
Lehlhatay Khet Darya Or Hay Sehra Dia

Buland Bala Pahaar Diay Sarsabz Waadian Bhi Dein
Paanch Dary Kohsarein Sang Marmar Bhi Dia

Har Tarah Kay Meway Diay Bebha Fruit Diay
Bajra Chawal Chana Jawar Maqai Gandum Dia

Tel Bijli Gas Coal Cement Or Cheeni Meeti Bhi Di
Railway PIA Steel Mill Bhi Hum Ko Dia

Saans Aazadi Ka Hum Ne Teri Badolat Hi Lia
Izzat Shohrat Ata Ki Dolat Or Maqam Dia

Hum Ne Ae Piaray Watan Badlay Mein Tujh Ko Kia Dia
Saari Dunya Mein Tujhay Badnaam Hum Ne Kar Diya

School College Masajid Mazarat Uraey Bomb Se
Apnon Ko Hum Ne Qatal Kia Roadon Ko Rangeen Kar Dia

Jhoot Gheebat Firqabandi Terrorism Loot Maar
Target Killing Bhatta Khori Bomb Blast Tujh Ko Dia

Behno Betion Maaon Ki Izzat Ko Pamaal Kia
Sare Aam Nachaya Hay In Ko Daman Bhi In Ka Phaar Dia

Besharm Watan Ko Wo Afsar Jo Apne Hi Ghar Ko Laat Ta Hai
Besharm Aktar Kar Chalta Hai Tu Sharm O Haya Ko Bech Dia

Barbaad Idaare Kar Dale Rishwat Ko Hum Ne Aam Kia
PIA Wapda Steel Mill Railway Sab Ko Hum Ne Barbaad Kardia

Ay Hum Watno Kuch Sharm Karo Apne Hi Watan Ko Loot Te Ho
Jis Watan Ne Izzat Di Tujh Ko Us Izzat Ko Hi Bech Dia

Haaqi Bhi Hamaray Kia Kam Hain Jo Apne Chaman Ko Loot Te Hain
Lejakay Watan Ki Dolat Ko Switzer Land Mein Account Banatay Hain

Jis Maa Ki Goud Mein Sotay Hain Jis Dharti Ka Hum Khatay Hain
Hum Kitne Kameenay Betay Hain Is Dharti Maa Ko Bech Dia

Mansoori Ki Hay Rab Se Ye Dua Ho Gharq Lootaray Dunya Se
Ye Mera Watan Shadab Rahe Hamein Jisne Apna Naam Dia

Rate it:
Views: 1127
24 Feb, 2014
Related Tags on Pakistan Poetry Poetry
Load More Tags
More Pakistan Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets