European Mumalik Ki Taraqi K Peechy Ek Eham Wajah.

(Talha Wajid, Lahore)

Europe Ki Taraqi Sy Har Koi Wakif Ha.Lekin Aisi Kya Wajah Thi Jis Ny Inko Kafi Teezi Sy Taraqi Krny Ma Madad Di.70 Saal To Hum Ny B Azadi K Guzar Liye Hain Jo K Ek Kafi Lamba Arsa Ha.Mery Ek Teacher Jo K Sweden Sy Ay Thy Ek Din Lecture Ma Oral Communication K Teaching Krty Un Ko Pta Chala Subject Sirf Nam Ka Oral Communication Ha Hum Ny Adat Sy Majboor Es Ka Written Paper Dena Ha.Ye Sun Humary Un Teacher Ko B Bura Laga Aur Humein B Kyun K Hum Oral Communication Ki Ek Lab Bana Chuky Jahaan Hum Apny Education System K Khilaf Kuch Seekh Rhy Thy Barhal Isi Ma Humary Teacher Ny Kuch Lamhy Kamoshi K Baad Bola K Ma Kehta Hoon K Har Pakistani Ko Ek Bar Europe Bhej Diya Jay Ye Theek Ho Jayien Gy.Mujh Thora Boora Feel Howa Kyun K Har Pakistani Jazba K Dolat Sy Mala-Mal Hota Ha Ma Ny Poocha Sir Hum Yahaan Aisa Nai Kr Skty Kya?To Unhoon Ny Bola Bohat Mushkil Ha Is K Peechy B Ek Wajah Ha Ma Ny Europe Ma Dekha Ha K Pakistan K Muqably Kyun K Un Abaadi Bohat Thori Ha Is Liye Yahaan K Muqably Wahaan Har Din Chuti Ki Tarahn Mehsoos Hota Ma Ny Wahaan Dekha Door Tak Koi Majood Nai Aur Car Phir Singal Par Khari Ha Ma Heraan Tha K Yar Ye Duniya Ki Sab Sy Busy Qoam Aur Ye Law Nai Torty Ma Kafi Dair Tak Sochta Rha Aisa Kya Ha Shaid Wahaan Ki Traffic Police Mry Zehan Ma Ek Baat Clear Thi Ghar Challans Pohanchany Ka Amal Sirf Is K Peechy Nai Ho Skta Aur Phir Mujhy Mery Sawal Ka Jawab Mila Jab Ma Ny Hotel K Kamry Sy Dekha K Primary School Ka Teachers Bachoon Ko Sath Liye Sarak Py Majood Signals Aur Muktalif Cheezoon K Mutaliq Taleem Dy Rhy Thy. Ye Amal Mery Sawal Ka Jawab Tha K Bachy K Zehan Ma Jab Is Umar Sy Beth Jay K Red Light Py Rukna Ha To Us Ny Sari Umar K Liye Paly Bandh Lena Ha Aur Pakistan Ma Bachy Mazrat K Sath Humary Baroon Ko Roz Singal Torty Dekhty Hain To Ye Fault Na To Trafiic Pollice Ka Tha Na Technology Ka Ye Fault B Ghoom Phir K Humary Education System Sy Ja Milta Ha.Is K Ilawa Ek Aur Eham Baat Ye B Ha Sweden Ma Railway Stations Py Abhi B Smart Phones Py Nai Lagy Hoty Wo Kitab Parhty Hain Dekha Jay Hum Sy Behtar Smart Phones Wahaan Mil Jaien Gy. Lekin Baat Akhir Ma Wohi Jo Allama Iqbal Ny B Bohat Khoobi Sy Biyaab Kya Is Masly Ko. Europe Ny Humari Hamary Scientists Ki Likhi Kitabein Chura Kr Humari Tamam Kitabi Taleemat Ko Practically Apnaya Lekin Wo Kitaabein B Hum Yani Muslims Scientists Ny Likhein Thein Aur Europe K Scientists K Muqably Humary Scientists Bohat Behtar Thy Aur Hain To Jab Musanif Apny To Kitabein Be-Shumar.Lekin Euroupe Idhar B Humein Gulam Bna Gya Smart Phones Aur Devices Ka Gulam.

Talha Wajid
About the Author: Talha Wajid Read More Articles by Talha Wajid: 29 Articles with 56745 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.