Mohabbat

(Pirh khan, Hyderabad)

Tamam Takleefon Mai Se Kisi Galat Shaks K Liye Mar Mitna Be Had Takleef'da Hai. Par Mohabbat Main Ye Sahi Galat Shaks Ka Hosh Kahan Rehta Hai. Sahhi Kehty Hai K Mohabbat Ki Nahi Jaati Bal'ky Wo Dilom Pay Utarti Hai Kisi Wahi Ki Tarah. Mohabat Mai Shayad Apka Izat-E-Nafs Kisi Had Tak Gir Jata Hai. Laakh Koshishon K Bawajood Ap Us Shaks Ko Dil Se Nahi Nikal Sakty. Us Shaks K Hathon Zilat Ham Bhula Nahi Dety To Yaad Bhi Nahi Rakhty, Sirf Ye Yaad Rehta Hai K Hamen Unse Bohut Mohabbat Hai. Phir Us K Inkaar K Baad Mohabbat Aur Bhi Gehri Hojati Hai Aese K Ham Unhen Hasil Karne Ki Tamana Chor Dety Hain Aur Bas Unhen Yaad Karty Rehty Hain. Un K Paas Na Hony Par Bhi Un K Liye Duaen Karty Hain. Han Isi Ko To Mohabbat Kahty Hain..Kisi Ki Gair Mojodgi Mai Unka Dea Hua Zakham, Dard, Zilat Sab Bhula K Allah Se Un K Liye Hath Utha Kar Unki Khushiyan Mangna.

Pirh khan
About the Author: Pirh khan Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.