Mein Salman Hun(Episode 67)

(HuKhaN, Karachi)

Mujhay Maloom Hay Kay Maa Kay Baad Ubh Mein Na Kici Ka Laal Hun Naa Hee Chand Hun,,,,,,Qun Kay Pechlay Kai Barasun Se Mein Bahut Se Waris Hunay Kay Bawajoodh Bee Lawaris Hun,,,,Agar Mein Kici Ka Chaand Huta Tu Tanha Ek Pal Bee Na Rehta,,,,,Qun Kay,,,Chaand Kabi Bee Tanhaa Nahi Rehta,,,,,Sitarun Kay Jharmat Mein Jhilmilataa Rehta Hay,,,,,Apni Roshni Na Hunay Kay Bawjoodh Bee Sitarun Aur Bhut See Kahkahaown Ki Mehfil Nay Usay Na Khtam Hunay Wali Chandni De Rakhee Hay,,,,Qudrat Nay Usay Tanhaiee Say Bacha Rakha Hay,,,,Udassi Se Kosun Meel Dour Rakha Hay,,,,,Wo Asmaan Ka Chaand Hay Aklota,,,,Tanha,,,,,Na Khtam Hunay Wali Chandni Nay Usay Sab Se Munfarid Bana Rakha Hay,,,,,Wo Muhabat,,,,Ishq,,,,,Mehboob,,,,,Khubhsorati Ka Asa Nishan Hay Jisay Sadiaan Bee Na Mita Sakein,,,,,Ajh Bee Jabh Samandar Sehra Ya Jungal Mein Musafir Bhatak Jaein,,,Tu Bas,,,,,Wo Rahnuma Bee Ban Jata Hay,,Aur,,,,,Jabh Ishq,,,,Piaar,,,,Rahnumaiee Karnay Lagay Tu,,,,,Iss Se Bahr Kar Aur Kia Khshbakhtee Hu Gee,,,,,,Rozi Khamoshi Se Salman Ko Dekhtee Rahee,,,,,Wo Sun Rahee Thee,,,,Magar Haal Se Bay Taluq Thee,,,,Bas,,,,Ek Awaaz Uss Kay Kanu Se Mustaqil Takraa Rahee Thee,,,,,Salman Khamosh Hu Gia,,,,,,Rozi Ki Nazrein Apnay Chahray Par Jamee Huee Dekh Kay,,,,Iss Thand Mein Bee Usay Paseenay Anay Lagay,,,,,Rozi Apni Nazrein Uss Kay Chahray Par Chor Kay ,,,,,,Kahein Aurr Hee Gum Hu Gaee Thee,,,,Meri Ankhun Ko Teray Chahray Ki Adat Na Hu Jaye,,,,,,,,,Kahein Ye Adat Duaown Mein Na Badal Jaye.Kamray Mein Serf Khamoshi Ki Hukmaraani Thee,,,,,Rozi Nay Salman Ko Dekha,,,,Salman,,,,,Kis Nay Kahaa,,,,,Hay,,Kay,,,,,,,Tum Tanha Rahu,,,,,Rozi Nay Apni Nazrein Uss Kay Chahray Se Hutaa Lee,,,,Magar,,,,,Uss Ki Ankhein Shaied Abhee Thakee Naa Thein,,,,,,Salman,,,,,Us Kay Sawaal Par Muskara Diya,,,,,,,Etmenaan Say Bola,,,,,Humein,,,,Koi Batata Ya Kehta Nahi,,,,,Humein,,,,Khud Se Parhna Parta Hay,,,,,,,,,,Salman Nay Apnay Hath Ki Hatheli Ko Dekha,,,,,,,,,Bola.....Bas,,,,Lakeerin Parna Ana Chaiye,,,,Ju,,,,Khud Kamzoor,,,,Bay Sahara Hutay Hein,,,,,Wo,,,,,Kici Ka Saharaa,,,,Ya,,,,,Taqat Nahi Bana Kartay,,,,,Mein Uss Tamashaiee Ki Tra Hun,,,,,Ju Stadium Mein,,,Serf Muqablay Ya Khel Ko Dekh Sakta Hay,,,,,,,Ya,,,,,Tu Jeet Ki Taali,,,,,Ya,,,,,Haar Ka Afsoos Kar Sakta ,,,,,,,,,,Magar Mujh Se Logh Khel Ka Hisa Nahi Bana Kartay (Jaree Hay)

HuKhaN
About the Author: HuKhaN Read More Articles by HuKhaN: 1124 Articles with 1189970 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.