Saffar Shumaal Kay(Episode 144)

(HuKhan, Karachi)

Humein Asa Laga Kay Raat Kay Iss Pehar Hum Gilgit Kay Paharun Kay Darmiyaan Iss Valley Mein Nahi Balkay Karachi Ki Kici Abadee Kay Chai Kay Hotel Mein Baithay Hein Wesa Hee Rush,Wesee Hee Chai Ki Izat Afzaiee,Wesay Hee Qahkahay,Cigrete Kay Hawa Mein Awaragardee Kartay Dhuwein Kay Marghoolay,,Awazein Qahkahay,,,,Har Taraf Befiqree Thee,,,Bas Subah Kaha Aur Kasay Janay Hay Raat Basar Karnay Ka Koi Thikana Milay Ga Ya Nahi,,,,,,,,,,,,Iss Kay Elawa Koi Soch Naa Thee,,,,Kal Kia Pehna Hay,,,,,,,,Barish Hu Gee Naa Hu Gee,Wahan Mosam Sard Hu Ga,,,Land Sliding Tu Na Hu Gee,,,,,Wahan Ki Daal Bahut Achi Hay ,,Wahan Ki Fish Ki Kiya Baat Hay,,,,,,,,,Pher Kici Larki Ka Qisa,,,,,,,Mujhay Bahut Maza Anay Laga Tha,,,,,,,Asa Lagh Raha Tha Jasay Mein Tv Dekh Raha Hun Aur Baar Baar Channel Badalta Hun,,,,Ya Koi Movie Dekh Raha Hun,,,,,Jis Mein Manzar Ek Dosray Say Marboot Tu Nahi Hein Magar Scene Jaldee Jaldee Badaltay Hein....Agar Hum Un Teeenu Kay Sath Hutay Tu Iss Sab Tafree Say Mehroom Reh Jatay,,,,,,,,Wesay Bee Un Loghun Ki Dilchasbi Ka Yahan Zayda Samaan Naa Tha Bas,,,,,,Serf Chai Thee,,,,,Samnay Nazar Paree Tu Teenu Matar Gasht Kartay Huay Nazar Aa Gaye,,,,,,,,,,,Uff Baree Umar Hay Teenu Ki,,,,,,Yaad Mein Kiya Aye,,,,,Ye Tu Sarak Par Aa Gaye,,,,,,,,Hum Nay Zara Sa Baher Nikal Kar ,Awaaz Laghaiee,,,,,,,,Humein Dekh Kay Teenu Nay Humaree Taraf Dekh Kay Koi Ghaleez See Baat Ki,,Humein Yun Andaza Hua Kay Baat Khatam Hunay Say Pehlay Hee Teenu Ki 32 See Baher Aa Gai,,,,,Yaar Kitnee Deir Say Baher Nikla Hua Hay,,,,,,,,,Sab Kher Hay Na..Kalim Nay Sohail Aur Navid Ki Taraf Dekh Kay Maani Khez Andaaz Mein Kahaa,,,,,,Bas Yaar Thoree See Walk Ki Aur Pher,,,,,,,,,Meri Baat Navid Nay Beech Mein Hee Kaat Dee,,,,,,,,,,Yaar Sohail Keh Raha Tha ,,,,Khan Sahib Ki Khabar Lo Kahein Kici Nay Kidnap ,,,,,,Hee Naa Kar Liya Hu,,,,,,,,,,,,,Humaree Asee Qismat Kaha,,,,,,,,Sohail Nay Aah Bharee,,,,,,,,,,,,,,Yaar Asee Fazool Aur Ghareeb Cheezun Ko Koi Nahi Lay Jata,,,,Hum Nay ,,,,,Chai Peeni Hay,,,Keh Kar Apni Hunay Wali Mazeed Bay Izatee Ko Waqtee Tour Par Taal Diya(Jaree Hay)

HuKhan
About the Author: HuKhan Read More Articles by HuKhan: 1124 Articles with 1193471 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.