Mustaqbil Me Contact Lens Ki Madad Se Tasavir Bana-na Mumkin

(Shakira Khan, Lahore)

Ab Bohat Jald Mobile Ya Tablet Nahi Balkay Aap Ki Ankhen Tasaveer Khenchnay Aur Data Send Ya Receive Karne Ka Kaam Karen Gi.

South Korea K Science Daano Ne LED Se Bane Aisay Eye Lenses Tayyar Kiye Hain Jis Se Mustaqbil Mein Aankhon Se Tasaveer Lainay Aur Scanning Waghera Karne Ki Janib Paish Qadmi Hui Hai.

Olson National Institute Of Science And Technology Ke Mohqiqeen Is Lens Par Kaam Kar Rahay Hain Aur Abhi Unhon Ne Is Mein LED Technology Se Bane Lenses Ki Tayari Mein Kamyabi Haasil Karli Hai.

Muhaqiq Oung Park Ke Mutabiq Neon Material Ke Zariye Lachak Dar Aur Aankhon Mein Pehnne Ke Qabil High Sensor Device Ki Tayari Mumkin Hai.

Yeh Team Pehli Bar Aisa Lachak Dar Aur Shafaaf Material Tayyar Karne Mein Kamyaab Hui Hai Jo Contact Lenses Ki Tayari Mein Istemaal Kiye Jasaktay Hain.
 

Dr. Shakira Nandini
About the Author: Dr. Shakira Nandini Read More Articles by Dr. Shakira Nandini: 203 Articles with 211984 views I am settled in Portugal. My father was belong to Lahore, He was Migrated Muslim, formerly from Bangalore, India and my beloved (late) mother was con.. View More