Haraam Aur Halaal

(HuKhan, Karachi)

Zamana Bahut Teiz Raftaar Hay,,,,, Har Chese Mintoun Secondun Mein Nazar Atee Hay Aur Ghaieb Hu Jatee Hay,,,,,,,,,,, Face Book Hee Dekh Lijiye Agar Mein Kici Sarak Chaph Poet Ki Tra Face Book Ka Urdu Tarjuma Karun Tu ,,,Kitabi Chahra,,,,Chalein Ap Iss Tarjumay Say Etefaaq Na Kerein ,,,,Qun Kay Bas Itefaaq Serf Barkat Kay Liye Huta Hay,,,,,Ubh Us Par Bee Koi Bee Post Seconds Mein Ghaeib Hu Jatee Hay,,,,,,,,,,Ajh Kal Loghun Ko Barkat Se Zayda Break Fast Ki Zarorat Hutee Hay,,,,,, Humaray Janay Walun Mein Say Ek Police Officer Hein Humein Pata Hay Un Kay Paas Halaal Ka Kuch Nahi Unn Ki Tankha Jisay Paghaar,Salary,,Mazdoori,,Mehentana Aur Janay Kia Kia Kehtay Hein Wo Bee Halaal Nahi Hay ,,,,,,,,,,Magar Har Chese Mein Un Ko Halaal Ki Fiqar Hutee Hay Ek Din Hum Un Kay Sath Thay,,,,,, Wo Ghar Ki Shoping Kay Liye Nikal Gaye,,,,,,,,, Hum Nay Ehtiaatan Poch Lia Jaib Mein Kitnay Pasay Hein,,,,Humein Ye Fiqar Na Thee Kay Un Kay Paas Pasay Kam Na Hun,,,,,, Humein Ye Fiqar Thee Kay Hasb E Adat Agar Wo Apna Purse Ghar Bhool Gaye Tu,,,,,, Humaree Jaib Asee Hu Jaye Gee Jasay Hakoomaty Khazana Pora Ka Pora Khali,,,,,, Wo Bee Serf Awaam Kay Liye,,,Wo Bolay Paghlay Pasun Say Bewaqoof Shopping Kartein Hein Hum Nay Socha Ye Credit Card Use Kartay Hun Gay Police Officer Hu Kar Bee Decatun Se Dartein Hein Kher Unhun Nay Ek Chese Bee Pasay De Kar Nahi Li,,,,,,,,, Gosht ,Sabzi,Oil.Masalaa Jaat Sab Lay Liye Yahan Tak Kay Chocolate Bee Lay Lein Majaal Kici Dukaandaar Ko Ek Siqa Bee Diya Hu,,,,,,Albata Un Ko Halaal Haraam Ki Bahut Fiqar Thee,,,,,,,Gosht Liya Tu Yar Pata Nahi Sahi Se Zibah Bee Kia Hu Ga Ya Nahi,,,,,,Sabzi Tak Kahein Gatar Baghichay Ki Naa Hu ,Chocolate Mein Kahein Koi Haraam Chese Na Milaa Dee Gei Hu Ingeredents Par Lo,,,,,,,,,Hum Sochtay Reh Gaye Pasa Ek Nahi Diya Pher Bee Har Chese Halaal Chaiye ,,,,,,,Haraam Pasay Bee Nahi Diye Magar Halaal Hu Sab Kuch Wah Ray Bahia Insaan Kamaal Hay...Ghar Bee Asay Paisun Say Bana Liya,,,,,,,,,,,Likh Diya ,,,,,,,,Sab Allah Ka Fazal Hay,,,,Hum Nay Pocha Bahi Pasay Qun Nahi Diye Bolay Yaar Apnay Paas Halaal Ki Kamaiee Kaha,,,,,Ubh Bachun Ko Haraam Khilaown Kiya,,,,,,,,,Had Karty Hu Tum,,,,,Ubh Mein Asa Bee Nadaan Nahi,,,,,,Hum Sochtay Reh Gaye Wah Ray Shaitaan,,,,,,,,,Kia Phillosphi Dee Hazrat E Insaan Ko,,,,,Mein Iss Qadar Anjaan Hun,,,,,,,Mein Hazarat E Insaan Hun,,,,Kiya Hua Ju Nadaan Hun

HuKhan
About the Author: HuKhan Read More Articles by HuKhan: 1124 Articles with 1195269 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.