Mein Salman Hun(Episode 4)

(HuKhan, Karachi)

Chai Mein Tandoor Ki Roty Kuch Khaas Mazaa Nahi De Rahee Thee Hotel Kay Tabale Walay Bachay Nay Ju Kay Serf Kapra Mara Karta Tha Ya Pher Pani Ka Jugh Bhar Kay Pait Pojaa Karnay Walun Kay Halaq Mein Naywala Phansnay Say Bachataa Tha Salman Kay Zrad Hutay Huay Chahray Ko Baar Baar Dekhta Tha Uss Nay Apni Chotee See Umar Mein Jitnee Izat Aur Piaar Salman Say Paya Tha Apnay Ghar Sey Bee Usay Asa Bartaow Naseeb Nahi Hua Tha Pher Uss Ko Pata Hay Salman Bahi Bara Yateem Hay Aur Wo Khud Chota Yateem Hay Iss Tra Un Dono Mein Ek Reshta Saa Ban Gia Tha Bachay Nay Jisay Sabh Choto Kehtay Thay Baahnp Lia Kay Salman Bahi Ko Chai Kay Sath Tandoori Roty Maza Nahi De Rahee Uss Nay Zara See Daal Plait Mein Daal Kar Salman Kay Samnay Rakh Dee Salman Nay Hairat Say Usay Dekha Choto Nay Hountun Par Unghli Rakh Kay Khamosh Rehnay Ko Kaha Or Palat Kar Dosree Table Ki Janib Chala Gia Salman Nay Bee Daal Ko Zayda Deir Plate Mein Tiknay Nahi Diya Wo Lamhun Mein Salman Kay Maiday (Stomach) Mein Gumm Hu Gaee Hotel Mein Salman Ka Khataa Bee Lambha Hu Gia Tha Kaee Dafa Hotel Kaa Malik Eshaarun Mein Salman Say Pasun Kaa Taqaza Kar Chuka Tha Magar Uss Ko Bee Haqiqat Ka Adraakh Tha Isi Liye Wo Salman Ki Izat Nafs Ko Zayda Hurt Nahi Karta Tha Salman Nay Pani Ka Lambha Saa Ghont Lia Or Kursee Kay Sath Qamar Tikaa Li Din Bhar Kay Dhakay Drownay Khabh Say Thay Wo Khud Ko Manfi Sochun Say Or Mauusi Say Dour Rakhna Chahta Tha Magar Ubh Bahut Zayda Deir Hu Rahee Thee Wo Soch Raha Tha Kay Kal Pher Wo Industerial Area Jaye Ya Mazdoron Kay Sath Bazaar Kay Choke Par Baith Jaye Or Koi Mazdoori Hi Hath Aa Jaye Jis Say Uss Kay Khanay Peenay Ka Silsila Chalta Rahay Jisam Mein Roty Daal Or Garam Pani Jasee Chai Nay Thoree Bahut Heat Paida Kar Dee Thee Ubh Wo Kuch Kuch Asa Soch Raha Tha Kay Uss Ki Zindeghi Ki Garee Ahista Ahista Kam Se Kam Renghtee Tu Rahay Kamray Ka Rent Hotel Walay Ka Bill Tu Dourr Ki Baat Thee ,,YA ALLAH Makaan Malikan Kay Maikay Mein Koi Fouthghee Hee Hu Jaye Kam Say Kam Hafta Tu Araam Rahay Werna Wo Aurat Uss Ko Jeenay Nahi Dey Gee Poray Muhalay Mein Uss Kaa Tamasha Bana De Gee Sab Itnay Ghor Say Salman Ko Parnay Wali Gaaliaan Suntay Thay Jasay Wo Koi Breaking News De Rahee Hu Ubh Koi Na Koi Hal Nikaalna Hu Ga Chalo Maikay Mein Koi Fout Na Hu Kam Say Kam Hospital Mein Hee Admit Hu Jaye Salman Nay Apni Selfishness Ko Qadray Kam Kar Diya(Jaree Hay)

HuKhan
About the Author: HuKhan Read More Articles by HuKhan: 1124 Articles with 1193622 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.