Saffar Shumaal Kay(Episode 132)

(HuKhan, Karachi)

Kehtay Hein British Dour Mein Punjab Ambla Say Musalmaan Governor Abudullah Ko Gilgit Kaa Nazam U Nasaq Sambhalnay Ko Diya Gia Pher Ye Khan Bahadur Or Zai Pathan Kay Hisay Mein Bee Ayaa Ubh 99 % Yahan Musalmaan Aabaad Hein Tareekhi Tour Par Gilgit Hunza Or Nigar Apus Mein Juray Huay Bee Nazar Ataty Hein Or Inn Mein Bahut See Janghein Bee Huty Rahein Hum Jsr Hotel Kay Owner Shahid Say Milnay Chalay Gaye Wo Wesa Hee Hashaash Bashaash Nazar Aa Raha Tha Ubh Wo Siaasi Tour Par Bee Bahut Mazboot Or Active Hu Chucka Tha Uss Mein Social Activist Kay Germs Tu Pehlay Say Hee Bahut Thay Ubh Uss Ki Shkhsiat Mein Tharaow Aur Burdbaari Aa Gai Thee Uss Ki Muhbat Aur Khaloos Mein Koi Kami Nahi Ayee Thee Khubaani Aur Alochay Kaa Mix Juice Humaree Khidmat Mein Pesh Kiya Aap Gilgit Jaein Aur Ye Jucie Nahi Piya Tu Samajh Lijiye Aap Nay Ek Taste Of The Day Ko Miss Kar Diya Shahid Ko Waqt Nay Mutasir Nahi Kiya Tha Bas Kuch Sar Kay Baal Kam Hu Gaye Thay Ye Wahid Banda Tha Ju Kabi Karachi Nahi Aya Tha Aur Naa Hee Usay Yahan Anay Ki Koi Khahish Thee Wo Yahan Khush Tha Mutmaien Tha Apnay Loghun Kay Liye Kuch Karnay Kaa Jazbaa Uss Mein Koot Koot Kay Bhuraa Hua Tha Kai Kaam Tu Wo Apni Jaan Hatheli Par Rakh Kay Bee Kar Guzarta Tha Aap Ki Uss Say Jaan Pehchaan Hu Na Hu Aap Kici Muisbat Mein Hun Tabh Bee Shahid Aap Ko Mayuus Nahi Karay Ga Jabh Siah Gilgit Mein Raat Phans Jatay Hein Aur Aas Paas Koi Thikana Naa Hu Tu Shahid Asay Loghun Ki Akhree Umeed Huta Hay Khana Peena Rehna Sab Apnay Sar Lay Laita Hay Siah Agar Kici Valley Mein Jaa Kar Phans Jaein Aur Shahid Tak Baat Pohanch Jaye Tuu Ye Shakhs Jabh Tak Unn Ki Madad Ko Naa Pohanch Jaye Iss Ko Qaraar Nahi Ata Shahid Kay Hotel Ki Lobby Mein Baith Kar Duniya Jahaan Ki Baatein Huein Ajh Bee Uss Ko Kahkhaa Laghana Ata Tha Jis Say Pata Chalta Tha Kay Ajh Bee Jeena Chahta Hay Haar Nahi Maani Thee Larna Chahta Tha Har Mushkil Say Uss Ki Hansi Kaa Apna Hee Andaaz Hay Dubhlay Patlay Jisam Or Darmiyanay Qadh Mein Bee Wo Ek Baraa Insaan Tha Ju Hazaroun Mein Numayaa Tha Hum Nay Mosam Khanay Buisness Sports Tracking Climbing Siasat Har Mozoo Oar Uss Say Baat Ki Iss Douraan Na Janay Kitni Chai Bee Pee Gaye Magar Naa Wo Thak Raha Tha Na Hum Magar Time Nahi Rukk Raha Tha Agay Hee Agay Bar Raha Tha Iss Ko Qbu Karna Asaaan Naa Tha Raat Kaa Andhera Ubh Siaahi Mein Badal Chucka Tha Asmaan Sitaarun Say Bhar Chucka Tha Pahaar Siah Bhooton Ki Tra Nazar Aa Rahay Thay Sarakein Veeraan Hu Gein Thee Gilgit Air Port Tak Ki Walk Ka Programe Bana Lia Gia(Jaree Hay)

HuKhan
About the Author: HuKhan Read More Articles by HuKhan: 1124 Articles with 1194661 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.