Umeed Par Duniya Qaiem

(hukhan, karachi)

HuKhan

Paskistan Asian Tiger Ban Jaye Ga,Bijli 2018 Mein Kabi Naa Janay Kay Liye Wapis Aa Jaye Gee,Mehanghaie Ko Logh Taras Jaein Gay,Education Free Hu Jaye Gee Ek Bee Bacha Taleem Say Mehroom Nahi Reh Paye Gaa,Sehat Tu Asee Hu Jaye Gee Har Pakistani Ki Kay Har Koi Pehalwaan Lagay Ga ,Train ,Plane Or Road Kaa Safar Asa Hu Jaye Ga Kay Logh Duniya Mein Europ Kay Bajaye Pakistan Ki Misaal De De Kar Thak Jaien Gay Nokeriaan Itni Hun Gee Kay Wo Pakistanio Ko Dhundhty Pherein Gee ,Pakistan Ki Abadee Par Control Hu Jaye Ga Roty Kapra Or Makaan Kaa Naraa Dumm Tor Jaye Ga.Ye Sab Wo Batein Hein Ju Hum Har Hukmaraan Say Suntay Hein Or Baar Baar Hazaar Baar Suntay Chalay Aein Hein Naaumeedi Kufar Hay Magar Asee Umeed Sheikh Chili Kay Khabh Jesi Hay .Jis Tra Palnay Mein Poot Kay Paon Bata Detay Hein Kay Wo Anay Walay Kal Mein Iss Paon Say Kis Kis Ko Kick Maray Ga Issi Tra Hakoomat Ki Policies Bata Dety Hein Kay Uss Saay Awaam Kitni Umeed Rakhay Or 2 Saloun Mein Hee Hakoomat Kaa Kacha Chataah Khul Kay Samnay Aa Jata Hay Taleem ,Sehat Or Awaami Bunyaadi Souhalatun Ko Jis Tra Say Pas E Pusht Daal Kay Humaray Hukmaraan Apnay Aamraana Faislon Ko Jamhoriat Kay Kafan Mein Lapait Kay Awaam Par Musalat Kartay Hein In Say Pata Chalta Hay Kay Inn Loghun Ko Kitna Awaami Masaiel Kaa Adraakh Hay Kitna Dard Hay Awaam Ka Kis Qadar Inn Mein Salaaheiten Hein Inn Masaaiel Say Nipat Laini Ki Shaied Wo Ghareebun Ko Asay Hee Dekhtay Hein Jasay Koi Sad Story Movie Hu Jis Ka Haqiqat Say Zayda Wasta Naa Hu Inn Kay Masaiel Jasay Film Kay Sath Hee Khatam Hu Gaye Hun...Har Shakh Pr Ulo Baitha Hay Mjy Shakh Ki Nahi Ulo Ki Fiqar Khaty Hay,,,Janay Qun Hakoomat Hamesha Ghareeb Kay Sabar Ko Hi Azmaaty Hay.Mera Khiyaal Hay Jabh Tak Pm House Kici Jhunpri Mein Shift Nahi Kia Jata Ya Pher Kici Jhunpri Walay Ko As Pm Pm House Mein Shift Nahi Kia Jata Ye Ghareebun Kay Problems Khatam Hunay Walay Nahi Mujhay Yaqeen Hay Paper Mein Likhi English Jhunpri Wala Bee Par Or Likh Lay Ga Meray Piaray Parnay Walo Umeed Par Duniya Qaiem Hay,,,,We Dont Have Another Choice So,,,,Stuck On Hopes

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1193847 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.