Ankhun Ki Gustakhian

(hukhan, karachi)

HuKhan

Hum Jabh Bahut Chotay Say Thay Ap Ye Na Samjhiye Ga Kay 1 Ya 2 Inch Kay Hum Hua Kartay Hun Gay Chotay Say Matlabh Hay Jabh Humein Zara Zara See Hosh Or Samajh Thee Yeni Kay Ajh Say Zayda Hum Hushiyaar Or Samajhdaar Thay Wesay Tu Bahi Logh Ya Yun Keh Lijiye Ju Hum Say Zara Qareeb Hein Un Ka Khiyaal Hay Chunkay Hum Paidashi Tour Par Pathan Hein Iss Liye Zayda Tar Imqaan Ye Hee Hay Kay Humaree Samjhdaree Kay Level Mein Koi Zayda Farq Na Aya Hu Ga Kher Iss La Hasil Behas Ka Koi Faida Nahi Qun Kay Hum Apni Marzi Say Pathan Paida Nahi Huay Balkay Koi Bee Apni Marzee Say Paida Nahi Huta Werna Humein Yaqeen Hay Ye Duniya Sultana Daku Hitler Shekhspier Masulini Kabi Iss Duniya Mein Nahi Atay .Baat Asal Mein Ye Hay Kay Jabh Say Hum Paida Huay Hein Ankhun Kay Baray Mein Bahut Kuch Suntay Chalay Ayein Hein Kabi Songs Mein Poetry Mein Adabh Mein Khas Kar Poets Nay Tu Ankhun Ki Asee Asee Tashreeh Ki Hay Kay Hum Nay Ankhun Ko Hee Sabh Kuch Samajh Lia Tha Jasay,,Dewani Mastani Jheel Samandar Kashty Darya Chand Badal Teer Kamaan Kahien Par Ankh Kahein Nishana Mendak Jeci Ankh Ek Shaier Keh Raha Tha Ap Ki Ankhun Mein Kuch Mehkay Huay Say Raaz Hein Ubh Hum Pareshaan Thay Kay Kia Sach Hay Kia Hay Jhoot Kia Sahii Hay Kia Ghalt Kia Haqiqat Kia Fasaana Kia Naghma Kia Taranaa Medical Science Nay Tu Ankh Ko Parda Putli Janay Kia Kia Cheezun Ka Majmoa Bata Dia Kici Nay Kaha Ankh Khabh Dekhty Hein Jabh Kay Humara Experiecne Bilkul Alagh Hay Hum Nay Jabh Bee Khabh Dekha Tu Humaree Ankhein Band Thein Ek Dafa Khuli Ankh Say Khabh Dekhnay Ki Koshish Ki Tu Accident Hutay Hutay Bacha Poets Nay Tu Ankhun Ko Itni Zayda Ehmiat Dee Hay Kay Hum Jabh Bee Safar Par Nikalaty Hein Hamesha Dar Rehta Hay Kay Kahein Jaldi Mein Ankhein Ghar Hi Na Bhool Jaein Pher Pata Chalta Hay Bahi Ye Fix Hein Bhool Nahi Saktay Ya Asa Bee Huta Hay Kay Dekhu Bahi Ja Tu Rahay Hu Dekhna Ankhein Chaar Na Karna Hum Jabh Bee Baher Se Wapis Aye Tu Ghor Se Baar Baar Counting Ki Kay Kahein Ankhein Chaar Tu Naa Hu Gein Kahein Bas Ubh Tak Shukar Hay Kay 2 Hee Hein 4 Nahi Huein Kai Loghun Ki Ankh Mein Suna Hay Baal Bee Aa Jata Hay Us Say Bee Bachna Chaiye Qun Kay Jis Kay Baal Kay Baray Mein Kaha Jata Hay Wo Bara Hi Manhoos Kisam Ka Janwar Hay Ankhein Ki Bhut See Misaalein Abhi Baqi Hein Ju Hum Pher Kabi Ap Ki Khidmat Mein Arz Karein Gay.

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1194583 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.