Mahoolyati Aalodgi.

(Barira imail, Karachi)

Biwi: Shohar Say Aray Suntay Ho Zara Bazar Ja Kar 2 Kilo Tamatar Lai Aao.

Shohar: Theek Hai Begum

Shohar Thaka Ara Ghar Aaya Aur Kehnay Laga Begum Tum Nay Bahar Ki Halaat Dekhi Hai Bahar Gariyon Ka Shor Sharaba,Gariyon Say Nikalnay Wala Dhua Jagah Jagah Gandagi Aur Kachra Halat Kharab Hogaye Meri To Aaj.

Biwi:Yeh To Tum Bilkul Sahi Kah Rahay Ho Hamaray Muashray Mein Mahoolyati Aloodgi Bohat Zyada Hai Is Say Insani Zindagi Aur Sehat Bohat Mutassir Hoti Hai .

Shohar: Theek Kaha Tum Nay Is Gaariyon K Dhuway Say Insani Phaipray(Lungs )Kharab Hojatay Hai In Gariyon K Horn Say Insani Dimagh Par Gehra Asar Parta Hai Jagah Jagah Khachray Say Logo Ki Sehat Kharab Hoti Hai Aur Naye Naye Beemariyan Janam Laiti Hain .

Biwi:Baat To Tum Sahi Kehtay Ho Magar Yeh Hamari Zimadari Thori Hai Yeh To Hukumat Ki Zimadari Hai.

Shohar:Yeh Baat Tum Nay Ghalat Kahi Begum Yeh Hukumat Ki Zimadari K Sath Sath Hamari Bhi Zimadari Hai Aik Achay Shehri Honay Ki Hasiyat Say K Hum Bhi Jagah Jagah Kachra Na Phainkay Apni Dhoway Chorti Hui Gariyon Ki Maramat Karwaye Aur Gariyon Kay Horn Ka Beja Istamal Na Karay. AAP (S.A.W.W)Ka Farman Hai K:"Jab Tak Koi Qoom Apni Halat Ko Badalnay Ka Irada Nahi Karti Tab Tak Allah Bhi Us Qoom Ki Halat Nahi Badalta" To Pehlay Humain Khud Badalna Hoga.

Biwi: Tum Sahi Kehtay Har Cheez Ka Ilzaam Hukumat Par Laganay K Bajae Humain Khud Bhi Kuch Karna Chahiye.

Silent Msg For All Citizens
 

Barira imail
About the Author: Barira imail Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.