Saffar Shumaal Kay(Episode 98)

(hukhan, karachi)

silk route gifts

Janghlot Bee Jagh Raha Tha Or Garmi Sey Laal Peela Hu Raha Tha Dalda Kay Dabay Mein Glacier Ki Barf Walay Thanday Pani Nay Piaas Ko Or Barha Dia Dalda Ka Pani Say Bahra Daba Hum Mil Kay Dakaar Gaye,,,Ye Bee Khan Saab Ki Sazish Hay Itni Deir Sey Pani Pilaya Wo Bee Thanda Or Meetha Kay Ubh Hum Khana Kam Kahiein Kalim Nay Sazish Ko Bey Naqqab Kia Fer Magarmach Ki Tra Qun Pee Raha Tha Navid Nay Kalim Ki Soch Ko Nazar Andaaz Kartay Huay Kaha ,,Salay Ka Munh Tu Hay Hee Magarmach Jasa Pait Mein Tank Bee Magarmach Jasa Hi Hay Sohail Nay Kalim Ko Sambhalnay Ka Moqa Nahi Dia,,,,Khaye Ga Pher Bee Hum Sab Say Zayda Hum Nay Ek Jumlay Mein Kalim Ki Khushkhuraaqi Ko Nazar Laghanay Ki Koshish Ki Janghlot Ka Din Garam Tha Or Khamoshi Ka Ghalba Tha Qun Kay Abhi Koi Musafir Bus Hotelon Kay Baher Mojudh Naa Thee Hotel Khulay Huay Thay Main Bazaar Mein Zayda Tar Driver Hotel Thay Qun Kay Yahan Musafir Therna Pasand Nahi Kartay Qun Kay 30km Kay Faslay Par Gilgit Kaa Shaer Tha Hum Loghu Nay Khanay Kay Rate Liye Jis Se Andaza Hua Kay Yahan Mehanghaiee Aroojh Par Thee Hum Nay Khanay Ka Order Dia Or Saye Mein Hotel Se Baher Baith Gaye Samnay Darya Bah Raha Tha Sher Darya Apnay Juban Per Tha Alam Bridge Samnay Nechay Nazar Aa Raha Tha Skerdu Janay Wali Gaariaan Road Ko Chore Kay Neechay Alam Bridge Kay Liye Utaar Raheein Thein Bridge Kafi Eham Tha Ek Garee Ek Time Mein Guzar Sakty Thee Iss Liye Police Walay Ek Taraf Ki Garee Ko Chortay Thay Fer Dosray Janib Ki Gaarian Alam Bridge Par Sey Guzar Saktein Thein Daal Bay Maza See Thee Sabzi Be Bas Asay Hee Pakaiee Hui Thee Sab Se Mazay Ki Chese Pani Tha Bas Hotel Walay Glacier Ki Baraf Mein Sey Ghaas Nikalna Bhool Gaye Thay.Dhoop Mein Ubh Bee Bahut Tezi Thee Humaree Nazrein Alam Bridge Par Sey Guzarnay Wali Tarfic Par Jumee Huein Thein.Navid Or Niaz Nay Apnay Huqay Yeni Cigret Khareeday Sohail Nay Supari Type Cheeson Say Jaib Ko Bhar Lia Kali Nay Zor Say Dakaar Mari Niaz Nay Paresshan Sa Munh Bana Kay Kaha Kalim Bahi Arram Sey Dakaar Maru Land Slidding Na Hu Jaye(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1189818 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.