SAFFAR SHUMAAL KAY(EPISODE 96)

(hukhan, karachi)

peoples having fun in nature

Taatu Wapsee Mein 2 Ghantay Mein Hee Hum Manzil Par Pohanch Gaye Sorajh Chachu Ka Ghusa Thanda Hu Kay Nahi De Raha Tha Tatu Pohanch Kar Saya Daar Darakht Ki Thnadi Chaown Nay Humein Apni Aghosh Mein Lay Lia Kalim Yaar Kia Behans Ki Tra Para Hua Hay,,,Meri Khubsoraty Sey Jalnay Ka Koi Faida Nahi Sohail Ki Baat Ko Kalim Nay Hawa Mein Uraa Dia Yaar Jabh Hum Uthein Gay Tu Logh Samjhein Gay Janay Ajh Konsay Janwar Aye Thay Kay Ghaas Kaa Satiyaaa Naas Kar Dia Navid Nay Laitay Huay Gold Leaf Kay Dhuwein Ko Hawa Mein Uratay Huay Sab Par Ek Sath Hamla Kar Dia,,,Hum Nay Time Dekha ,,Yaar Pata Nahi Jeep Wala Kab Aye Ga ,,,Bahi Wo Zror Aye Ga Uss Nay Pasay Nahi Lainay Kia,,,,,,Sohail Nay Latay Huay Hi Peshangoi Kar Dee Wesay Fairymeadows Yaad Ana Shuro Hu Gia Hay Bahi,,,,Wapsee Asani Sey Hu Gai Hay Na Werna Jatay Huay Kasay Baq Baq Kar Raha Tha Kalim Nay Zor Seqahkaha Lagaya,,,Sohail Nay Zayda Notice Nahi Lia ,,Bahi Jatay Huay Tu Sab Ki Hawa Khushk Thee,,,Navid Nay Haqeeqat Biaani Sey Kaam Lia,,,,Wesay Yaar Nanghaparbat Bas Nangha Par Bat Hi Hay ,,,Hum Nay Nangha Parbat Par Zor Dey Kar Kaha,,,,Iss Mein Koi Shaq Nahi ,,,Asee Jagah Khushnaseeb Hee Aa Saktay ,,,Navid Ki Baat Porri Bee Naa Hui Thee Kay Kalim Bola ,,Or Bach Kay Jaa Saktay Hein Werna Khan Saab Aghli Seat Par Hi Thay Jis Nay Hum Sab Kay Bachun Ko Kahaanian Sunani Hein Wo Sab Sey Pehlay Jata,,,,,Oh ALLAH Ka Naam Lo Abhii Wapsee Wala Jeep Ka Safar Baqi Hay....Kalim Nay Luqma Dia Or Hum Nay Thoree See Khamoshi Ekhtyaar Ki,,,,Khan Saab Kuch Hu Jaye Fairymeadows Ki Shaan Mein,,,,Navid Ki Baat Par Hum Bolay Abhii Asee Halat Nahi Kay Kuch Nazil Hu Jaye Hum Par,,Yeni Kay Creativity Level Zero Hay Sohail Nay Masnoi Afssos Sey Kaha,,,Yaar Jabh Koi Achi See Piaree See Sorat Nazar Aty Hay Tu Ye Kah Kar Bach Jata Hay Kay Mein Nature Poetry Karta Hun Ubh Iss Ki Creativity Zero H Gai Iss Se Zayda Nature Kaha Say Laien,,Sohail Nay Pora Pendoura Box Khol Diya,,,Oh Insaan Banu Mujhy Konsa Ap Loghun Nay Payment Dey Rakhee Hay Ju Asa Hukamnama Dey Rahay Hu,,,,Tujhay Hum Free Mein Bee Naa Sunein Kalim Nay Humaray Danishwari Par Pani Pher Dia(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1195349 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.