Saffar Shumaal Kay(Episode 89)

(hukhan, karachi)

little boy discovering pakistan with flash tour

Kehtein Hein Fairymeadows Ka Naam Ek German Climber Nay Rakha Tha Wo Iss Jagah Ka Ashiq Tha Isay Duniya Ka Sab Se Khubhsurat Tukra Kehta Tha Samnay Nanghaparbat Ki Maghrror Peak Thee Ju Dhoop Mn Asay Chamak Rahee Thee Jasay Koi Nai Naveeli Dulhan Beauty Parlour Se Baher Ayee Hu.Us Kay Samnay Wasee O Areez Sabzay Par Lagay Rangh Baranghy Tent Tetlion Jasay Lagh Rahay Thay Hum Samnay Masoom Say Jungal Mein Chalay Gaye Paper Tree Bhut Baree Tadaad Mein Lagay Huay Thay Ye Darkhat Uss Time Insano Kay Bahut Azeez Dost Hua Kartay Thay Jabh Paper Ejaadh Nhi Hua Tha Loghun Nay Fairy Meadows Yatra Ki Date Or Apnay Naam Likhay Huay Thay Kuch Ashiqon Nay Apni Eshq Kay Saboot Kay Tor Par Naam Date Likhi Hui Thee Yaar Sohail Wo Train Wali Larki Kaa Kia Naam Tha Wo Hee Likh Daal Larki Konsa Yahan Aye Gee Tera Jhoot Pakarnay Navid Ki Baat Par Kalim Nay Sohail Ki Taraf Dekh Kay Likhnay Kay Liye Kaha ,,,Ye Sab Khan Teri Mastee Hay ,,Bhut Shoq J Hay Kahanian Gharnay Ka,,,Train Mein Bee Romance Tha Tujhay Kaghaz Ka Pait Ju Bharna Huta Hay Beshak Banday Ki Izat Ki Asee Tesi Hu Jaye ,,Sohail Nay Toph Ka Rukh Humaree Taraf Kar Dia,,,,,,Erray Yaar Badnaam Na Hun Gay Tu Kia Naam Naa Hu Ga,Kalim Nay Dehtaiee Sey Sohail Ko Mazeed Tangh Kia,,,,Navid Nay Humaray Kandhay Ko Hath Sey Hilaya ,,Khan Saab Kuch Ershaad Farmaiye Ap Bee Yellow Writer Hu Kia,,,,,Kalim Nay Sawaliya Nazron Sey Navid Ko Dekha ,,Yaar Jasay Yellow Journelisim Huty Hay Asee Hee Ye Kahanian Gharnay Walay Bee Peelay Hutay,,,Achay Bhulay Shareef Insaan Ka Scandal Bana Diya Ye Tu Likh De Ga Hu Sakta Hay Kal Ko Koi Andhee Sohail Ki Zindeghi Mein A Jaye Jisay Hum Sab Bahbhi Bahbhi Bolein Gay Or Humaray Bahteejay Ye Sab Par Kar Na Jnay Apnay Papa Ko Kia Samajhnay Lagein....Kalim Nay Zor Se Fiqarmandi Kay Andaaz Main Sar Hilaya...Its Hard To Digest,,,Kalim Or Navid Nay Humaray Pit Janay Ka Pora Plan Kar Lia Tha Hum Nay Sohail Ko Dekha Ju Shaied Iss Soch Mein Tha Kay Ye Dono Us Ka Record Laga Rahay Hein Ya Waqiee Ek Dam Se Sachi Hamdardi Hay(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1189984 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.