Saffar Shumaal Kay(Epiesode 52)

(hukhan, karachi)

VALLEY IN CALM MOOD

HOTEL KA Masoom Sa Bacha Khana Lay Aya Baat Karnay Par Pata Chala Wo Subah Mein School Bee Jata Hay Humein Bhut Khushee Huay Jabh Sab Nay Uss Ki Tareef Ki Tu Hum Bolay Bahi Pathan Bacha Hay Koi Mazaaq Nahi. Khaana Bhut Acha Tha Magar Zara Humaray Budget Se Out Tha Magar Hum Niaz Ka Dil Or Apna Mann Nhi Tor Saktay Thay Salaad Bhut Shaandaar Tha Piaz Temaatar Gharz Har Cheese Mehakty Hui Or Zaiqay Mein Meethee Hum Nay Chanay Ki Fry Daal Par Humla Kar Dia Baqi Logh Murghee Par Toot Paray Roty Laal Atay Ki Bhut Hee Mazaydaar Thee Ajh Tu Navid Bee Khubh Kha Raha Tha Pani Nay Humaree Bhook Ko Kaiee Guna Bara Dia Tha Pani Asay Hazma Karta Tha Kay Humaray Bas Mn Huta Tu Inn Ko Karachi Kaa Pani Hee Pilatay Magar Kia Kartay Asa Mumkin Na Thaa Pani Bee Asa Sar Kay Baal Bee Naram Hutay Jaa Rahay Thay Bina Shampoo Kay Bee Asa Laghta Kay Balon Mein Shampo Kiya Hua Hay Skin Bee Asee Fresh Kay Naa Pochiye Magar Sab Say Agay Yahan Ki Salaad Or Roty Thee Humaray Andar Baitha Hua Nadeeda Insaan Agay Bar Bar Kay Rotion Par Hamla Kar Raha Tha Bacha Rotian La La Kar Rakh Raha Tha Or Wo Kahein Ghaieb Huty Jaa Rahein Thee Kalim Bola Bhooko Bismilah Bee Paree Hay Ya Nahi Laghta Hay Shaitaan Bee Sath Sath Kha Raha Hay Sohail Bola Bahi Niaz Ko Shaitaan Nhi Kahu Its So Bad 2 Rutiaan Kia Zayda Khaa Lee Iss Ko Shaitaan Bana Dia ,,,Ap Logh Kuch Bee Kahu Bas Rotion Kaa Boltay Rahu Niaz Nay Har Cheese Ko Nazar Andaaz Kar Dia Navid Nay Sab Se Pehlay Alhamdullilah Kaha Hum Bee Zara Slow Hu Gaye Bhook Ki Gaaree Ko Pehlay Gear Mein Daal Dia Magar Kalim Sohail Abee Tak Agay Bar Bar Kay Humlon Mein Masroof Thay Hum Nay Apnay Experience Ko Use Kia Or Black Tea Yeni Kahwway Ki Chanak Lanay Kaa Keh Dia Humaray Order Ko In Dono Nay Bilkul Pasand Nahi Kiya Magar Hum Safar Mein Thay Kam Khao Wali Policy Hee Behtar Thee Niaz Nay Humaree Taraf Bhut Piaar Se Dekha Hum Nay Kaha Befiqar Rahu Bahi Ubh Ye Ghaltee Doubara Nahi Hu Gee Hum Nay Chashmein Kay Pani Se Hath Dhu Kar Pipe Se Munh Laga Lia Pani Ki Thandak Uss Kay Androoni Safar Kaa Pata De Rahee Thee(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1195070 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.