Saffar shumaal kay(epiesode 51)

(hukhan, karachi)

QUIET EVENING IN NORTH

DARYA Kay Kinaray Hotel Mein Dinner Kaa Apna Hee Maza Tha Hum Palangh Numma Chaarpaiee Par Khulay Asmaan Talay Baithay Huay Thay Sawaty Pathano Or Drivers Sey Hotel Bhuraa Hua Tha Hum Nay Khulay Asmaan Talay Baithna Pasand Kia Darya Ka Shore Bee Sunaeii De Raha Tha Samnay Pahaar Se Chashmay Kaa Pani Pipe Kay Zariye Bah Raha Tha Pani Naa Serf Thanda Tha Balkay Uss Mein Ek Alagh See Mithaas Thee Hum Sab Khaamosh Thay Shaied Subah Se Baq Baq Kar Kay Thak Chuckay Thay Ya Pher Beshaam Ki Valley Ko Apnay Andar Samo Rahay Thay Mosam Bhut Behtar Hu Chala Tha Hotel Mein Khanay Par Bhut Rush Tha Yun Keh Lijiye Kay Dinner Kay Time Sab Sey Zayda Ye Hee Hotel Abaad Thaa ,,,,,,,,,,,,,,Teri Shaam Kitni Suhaani Hay Teri Tu Chaandni Bee Abhee Aani Hay,,,,,Har Traf Teri Masoom See Jawaani Hay ,,Beshaam Ki Bee Apni Hee Kahaani Hay.Kia Mein Khubhsurat Nahi Hun Beshaan Ki Wadee Nay Humaray Kaan Mein Sargoshee Ki,,,,Qun Nahi Tum Bee Apni Misaal Ap Hu Jahaa Pahaar Kay Sath Darya Hu Waha Husan Kam Hu Asa Bee Koi Jahaa Hu.Fer Mray Pas Ruk Qun Nahi Jatay Wadee Nay Fer Sargoshee Ki Mray Pas Darya Hay Pahar Hay Chashman Hein Mosam Hay ,,,Kia Kaami Hay Mujh Mein,,,,,Pora Din Guzaar Kay Bas Kuch Pal Meray Naam ,,Mray Daman Mein Khud Ko Sonp Du Rakh Du Sab Dukh Apnay Bas Mujhay Bee Apna Mehboob Kar Du.Khan Saab Kaha Chalay Gaye Laghta Hay Neend Ki Devi Nay Humla Kar Dia Kalim Ki Baat Pr Mein Muskara Dia Nahi Yaar Bas Beshaam Se Batein Kar Raha Tha Iss Ki Narrzghee Ko Dour Kar Raha Tha Sab Nay Humein Asay Dekha Jasay Hum Koi Cartoon Hun,,,,,,Khan Saab Dawaiee Time Par Lia Karo Sohail Nay Maher Doctor Ki Tra Naseehat Ki Navid Humraee Kafiyat Samjhta Tha Bola Yaar Jagah Bhut Achee Hay Magar Time Kam Hay Or Saffar Bhut Zayda Hay .Ubh Andehra Barnay Laga Tha Khunki Bee Bar Rahee Thee Asmaan Saaf Tha Thoree Deir Baad Yahan Taron Ki Baraat Utarni Wali Thee Fer Iss Wadee Kay Manzar Nay Dilkashi Ki Chadar Urh Laini Thee ,,,Har Pal Mein Uss Ka Huay Jata Hun Jabh Bee Uss Ki Gali Se Guzar Pata Hun, ,, Naa Janay Qun Uss Pari Ko Bhool Nahi Pata Hun

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1189942 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.