Azad Media ……Bemaar Log….

(Alisha Akram, karachi)

Science Ke Kisi Bhi Ejaad Ko Tanqeeb Or Tabserah Ka Mazoo Banane Se Phele Zaroorat Is Amaar Ke Hai. Ka Science Ke Is Haqeeqat Ko Samne Rakha Jai.Science Kisi Karishma Ka Name Nae Hai. Science To Insan Ke Apne Aqaal O Faham Ka Irtiqa Hai. Science Ke Taza Tareen Ejaad Se Ek Bar Insan Dobara Heraat Se Dochar Hai , Jese Media Kahte Hain.

Media Kese Kahte Hain? Weh Media Kahe Aag Barsata Hai To Kahe Barish To Kahe Khushi Ke Amad Karta Hai To Kahe Barbade Ke Khabre Deta Hai, Garz Ke Is Media Se Kch Bhi Baed Nae Hai. Rahe Baat Media Ke Hmare Zindagi Ma Kia Kerdar Hai? To Wo Hamain Mulko Ke Khabro Se Agah Karta Hai. Mjhe Is Sare Media Ma Ek He Ejaad Nazar Ai Jo Aam Admee Ka Liya Hai Jese Radio Khate Hain,Jo Ek Aam Adme Ke Zindagi Ko Koi Nuqsaan Nae Phuchate Hai.

Duniya Ke 2 Ejaadat Ka Jaizha Le To Humain Pata Chale Ga Ka Radio Insani Zindagi Ka Liya Kuo Mufeed Hai.

Phele Ejaad T.V. Hai, T.V. Ke Heraat Anghez Ejaa Ma Se Hai. Weh Insan Ke Apne Zahani Kawish Hai , Science Ke Dosre Ejaadat Ke Trah T.V. Ke Bhi Musbat Or Manfi Phelo Hain. Is Ke Khubiya Or Khamiyah Bhi Hain …Phele Is Ke Khubiyoo Par Nazar Dala Jai …Tv Ke Madad Se Hm Mulko Ke Halat O Waqiat Se Agah Hote Hain .Radio Se Hm Bss Awaaz Kanoo Tk Phuchte Hai Lakin Tv Ke Mada Se Hm Ird Gird Ke Mahool Ke Nazare Dekht Sakhte Hain ….

Agr Is Ka Manfi Phelo Ko Dekhe To Tv Ke Waja Se Logo Ke Basaraat Mutasir Hote Hai Or Is Ka Sath Sath Bache Or Bare Batameez Or Bad Seerat Ho Rahe Hain Jis Ke Waja T.V. Hai Kuo Ka T.V. Par Jo Programs Ke Nomaish Hote Hai Or Angrezi Dramo Ke Nomaish Hai …In Dramo Ke Waja Se Log Apne Mazaab Se Bhi Dor Ho Rahe Hain..

Dosri Ejaad Internet Hai…Jis Ka Faidah Kaam Hai Lakin Manfii Phelo Ke Fahrest Taweel Hai…Internet Ke Madad Se Jaha Hm Maloomat Haseel Kar Sakhte Hain To Wahi Log Apne Rishte Daro Ke Dor Daraz Baat Kar Sakhte Hain …Agr Ab Is Ka Manfi Phelo Ko Dekhe To Wo Kch Yun Hain Ka Internet Ke Waja Se Logo Ma Basarat Kam Ho Rahe Hai. Talbe Elaam Raat Raat Internat Par Khel Khalte Hain, Jis Ke Waja Se Unke Prhai Mutasir Hote Hai Or School Jane Ma Takhir Hote Hai…Internet Ka Ek Or Nuqsaan Weh Hai Ka We Dahshaat Gard Ka Liya Achaa Hai Kuo Ka Wo Internet Se Ba-Asani Apne Aslahe Khareed Sakhte Hain.

Internet Or Tv Ke Sath Science Ke Ek Or Ejaaad Hai Jis Ka Awaam Par Bht Asar Hai.Jiese Humain Tele Phone Ka Name Jante Hain, Is Ka Fawaid Bhi Hain Or Nuqsaan Bhi….Phone Se Hm Logo Se Baat Kar Sakhte, Logo Ko Apna Pegham Bhej Sakhte Hain Wahi Cell Phone Ke Waja Se Bache Raat Tk Phone Pa Laga Rahete Hain.

Mere Zawe Ka Mutabiq Or Mere Soch Weh Hai Ka Agr Humare Nasaal Media Ka Durust Istammal Nae Bataya Gaya To Humare Nasaal Jo Humare Memaar Hain , Jo Kahe Barbadi Ma Na Phesaal Jai….

 

Alisha Akram
About the Author: Alisha Akram Read More Articles by Alisha Akram: 3 Articles with 6071 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.