Technology Aik Saholaat ya Zehmat ?

(majid mirza, Lahore)

Kiya New Inventions Aur Technology Hamaray Liye Saholat Hai Ya Zehmat ?

Kaha Jata Hai Key T.V , Internet , Computer Aur Mobiles Hamara Waqt Bachanay Ke Liye Ejaad Huwe Hein Aur Ye Information Ka Ek Buht Asan Zariya Hai Aur Hamein Her Tarhan Ki Malomaat, Khabrein , Koi Parhai Se Related Chezain In Technology Ke Zariye Kam Waqt Me Buht Asani Se Mil Jati Hein .

Magar Jaha In Technologies Kay Faidey Hain Waha Inkay Nuqsanaaat Bhi Buhat Hein Magar In Nuqsanaat Me In Technologies Ka Itna Kasoor Nai Jitna Hamara Khud Ka Kasor Hai. Agar Koi Internet Ko Apni Study Ke Lye Ya Apni Zaroriyat Puri Karnay Ke Liye Kuch Time Ke Liye Istamal Karay Tu Usko Koi Nuqsan Nai Ho Per Agar Wo Apni Parhai Chor Kar In Sab Technologies Ka Ghulaam Ban Kar Reh Jai Aur Is Me Adult Chezain Etc Dekhna Shoro Kar De Tu Wo Buht Nuqsaan Utha Raha Hai Aur Sath Hi Apni Deen Aur Duniya Bhi Tabahh Kar Raha Hai . ALLAH Nay Her Kisi Ko Aqal Di Hai Achay Or Buray Ka Farq Btaya Hai Aur QURAN ND HADEES Me Bhi Har Cheez Ki Wazahaat Ki Gai Hai. Aj Kal Ki Youth ( New Generations ) Nay Apnay Waldein Ko Dhukay Me Rakha Huwa Hai . Hala Kay Dhuka Kisi Ka Nai Hota Jo Dousron Ko Dhuka Deta Hai Wo Khud Ko Hi Dhoka De Raha Hota Hai. Hazoor Akraam Hazrat Muhammad Sallah Laho Ilahi Waslam Ney Farmaya :- من غشنا فليس منا Translation ( Aur Jinsay Dhoka Diya Wo Ham Me Se Nahi ). Aur Becharay Masoom Waldein Bhi Apny Bachon Per Yaqeen Kar Key Unko Choti Si Umar Mey Video Games , Computers, Mobiles Aur Internet Jesay Daldaal Me Daal Dety Hain Jis Se Nikalna Na Mumkin Hai Phr Bachon Ki Masomiyat Khatam Ho Jati Hai Aur Wo Apni Parhai Se Ziyada In Chezon Ko Time Dene Lag Jatay Hain Jis Se Unko Buht Nuqsan Hota Hai . Lehaza Waldein Ko Chiye Key Wo Apny Bachon Ko Ye Sab Chezain Le Kar Tu Dein Per Jab Wo Samjhdar Ho Jai Aur Achay Buray Ka Farq Samjhnay Lagaien Lakin Phr Bhi Wo Bachon Ko Ek Limited Time Ke Liye Aur Apni Majodgi Me Ye Sab Use Krnay Dein . Magar Waldein Ko Ziyada Sakhti Aur Shaq Bi Nai Karna Chiye Aur Shaq Aik Aesi Bimari Hai Jis Sey Insaan Ka Sakoon Barbaad Ho Jata Hai. Agar Wo Had Se Ziyada Shaq Aur Sakhti Kare Gein Tu Bachon Per Bura Asar Pare Ga Aur Wo Depression Me Chly Jai Gein Aur Sath Hi Apni Tafreh Ke Liye Chor Rasta Liqaal Lein Gein Jaisay School / College Bunk Aur Net Cafe Me Jana.

So, Meray Yehi Kehna Hai Ke Waldein Her Chez Ka Waqt Muqarar Karain Bachon Ko 5 Waqt Namazi Banai Unko Duniya Ki Taleem Key Sath Islam Ki Taleem Bi Dein Aur Tafreh Ke Liye Kuch Waqt Dein . Waldein Ko Chiye Wo Brabarii Rakhein Kyun Ke Islam Bhi Hamein Equality Ka Huqam Deta Hai.

ALLAH QURAN MEY FARMATA HAI :- Meray Banday Tu Buht Jald Baaz Aur Be Sabrah Hai.

Aur Phr Hamein Nasihat Krta Hai :- Sabr Se Kaam Lo, Beshaq ALLAH Sabr Krnay Walon Key Sath Hai.

Hamara Deen Islam Hai Aur Hamein Chiye Key Ham 5 Waqt Namaz Parhein , Halaal Kamai Aur Halal Khilai , Gharibon Ki Madad Karain , Zakat Dein Aur Apni Zindgi Quran Aur Hadees Ke Mutabiq Guzarein.
Thanks For Reading.

majid mirza
About the Author: majid mirza Read More Articles by majid mirza: 6 Articles with 39549 views A broken heart writer... View More