Saffar Sumaal Kay(Episode16)

(hukhan, karachi)

Bus  5 Ghantay Baad Rawalpindi Faizabad Par Humaray Bojh Say Azaad Hu Gai Ubh Hamein Hamesha Ki Tra Sasta Or Acha Sa Hotel Dekhna Tha Ye Gher Eham See Zimaadaari Humaray Kamzoor Kandhun Par Thee Humaray Kandhay Becharay Bag Utha Utha Kar Kafee Kamzoor Hutay Ja Rahay Thay Acha Khana Khaye Huay Arsaa Beet Chukka Tha Kher Iss Main Zayda Qasoor Humaray Kamzoor Budget Ka Tha Bus Yun Samajh Lijiye Humara Budget Itnaa Hee Thaaa Jitna Humaree Hakoomat Kaa Taleem Or Sehat Kay Liye Huta Hay Uss Mein Say Bee Zayda Tar Un  Ki  Jaibon Mein Chala Jata Hay Ju Humaray Leader Or Public Servant Sahibaan Hutay Hein Ju  Un Kay Teiz Nokilay Jabhron Say Bachta Hay Wo Ount Kay Munh Mein Zeeray Say Bee Kam Huta Hay Jis Say Koi Bee Ghreeb Naa Tu Par Pata Hay Naa Hee Bach Pata Hay 5 Ya 6 Hotel Ki Khaak Chahnay Kay Baad Ek Hotel Walay Ko Hum Sab Par Reham A Hee Gia Uss Nay Ek Kamray Key Chabhee Humaray Hawalay Ki Hum Nay Jasy Qila Fata Kar Lia Hu Raat Ko Hum Nay Mehsoos Kia Kay Garmee Zara Kam Huty Jaa Rahi Hay  Yaa Pher Hum Tandoor Mein Rehnay Kay Adee Hutay Jaa Rahay Thay Bhut See Dukano Ko Baher Say Dekhnay Kay Baad Humray Shoq E Awarghee Ko Bhut Taqveiyat Mili Kaleem Nay Hatim Tai Ki Qabar Par Laat Maari Ek Chapal Lee Ju Kay Bhut Kam Pasaon Mein Lee Gai Uss Par Bee Navid Kaa Khiyaal Tha Kay Ye Kaleem Ki Oqaat Say Bhut Bar Kay Hay,,,,Kaleem Nay Karachi Say Pindi Tak Kay Apna Kharch Shuda Sarmaya Iss Ki Qimat Mein Shaamil Kar Lia Jis Say Wo Chapal Kafee Qimty Hu Gai Hum Charron Paseenay Mein Sharaboor Hu Chukay Thay Punjab Ki Garmee Humaaree Bardasht Say Baher Thee Hum Tu Kher Kai Dafa Yahan Pehlay Aa Chukay Thay Magar Wo Hum Khelnay Atay Thay Uss Time Sab Kuch Araam Say Bardasht Hu Jata Tha Bhut Kam Daily Miltee Thee Wo Bee Zayda Laghty Thee Hum Paidal Faizabad Say Sadar Bazarr Ponch Gaye Wapsee Mein Ek Chingche Par Bathna Chaha Tu Navid Ki Jagah Nahi Ban Paa Rahi Thee Or Paidal Chalnay Ki Himat Nahi Thee  Jabhkay Taxi  Ka Saffar  Humaray Manshoor Mein Shaamil Naa Tha Chingche Walay Nay Raat Kay Andhray Mein Navid Ko Ghoor Kay Dekha Fer Uss Ko Offer Kar Dee Kay Aap Meray Pechay Baith Jao Navid Nay Ghora Samajh Kar Jump Maari Or Shahi Sawari Par Sawaar Hu Gia Sohail Nay Kaha Ubh Ye Chal Bee Lay Tu Baree Baat Hay Itnay Gunahghaaron Ka Bojh Asaan Nahi Agar Suzuki Company Walay Dekh Lein Tu Apni Bike Pakistan Mein Ban Kar Dein Gay Agay 3 Km Kaa Baad Hee Uss Ki Chain Toot Gai Sohail Ko Pora Yaqeen Hu Gia Kay Uss Nay Sahi Kaha Tha Navid Nay Usay Kali Zubaan Wala Qaraar Dia Jis Par Sohail Nay Apni Paan Zada Zubaan Bachon Ki Tra Samnay Kar Dee Ju Kay Laal Hu Rahi Thee Hum Nay Kici Par Tawajhu Nahi Dee Paidal Hee Hotel Ko Chal Diye Garmee Thee Kay Khatam Hunay Kaa Naam Na Laty Thee,,,,Asa Lagh Raha Tha Hum Ice Cream Hein Or Jald Hee Melt Hunay Walay Hein(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1195386 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.