Saffar Sumaal Kay(Episode12)

(hukhan, karachi)

hukhan,writer,author,tourist

Train Ek Tandoor Ki Tara Hu Chuckee Thee Bas Naan Roty Ki Jagah Hum Cook Hu Rahay Thay Ju Zara Kalay Thay Asa Lagh Raha Tha Roty Zara Jal Gai Hay Sohail Ka Sabar Zara Jawab Dey Raha Tha Bola Khan Saab Koi Or Train Nahi Mili Thee Hum Nay Kaha Tokyo Railway Say Contact Kia Tha Unhun Nay Saaf Kah Dia Abhee Hum Nay Pakistan Mein Service Shuro Nahi Ki Or Ainda Bee Asa Koi Plan Nahi. Hum Apnay Office Kay Ac Walay Mahool Ko Yaad Kar Kar Kay Bhut Udaas Hu Rahay Thay Sohail Bola Dil Kar Raha Hay Mein Samaan Uthaown Or Paidal Hee Chal Paron Naved Ko Mastee Sojhee Jhat Say Bola Simran Say Tu Poch Lo Wo Itnaa Paidal Chal Lay Gee Kia,,,,, Ya Mein Uss Ko Apnay Kandhay Par Sath Sath Lay Kar Chalta Rhun Naved Jis Kay Baal Kici Haseena Ki Tra Draaaz Thay Pechay Say Asa Laghta Tha Hum 3 Dushkaray Kici Haseena Ko Aghwaa Kar Kay Lay Ja Rahay Hein Baqol Kaleem Kay Naved Ki Nazuk Qamaria Madhuri Jitni Ya Uss Say Kuch Kam Hee Hu Gee,,Naved Bola Khan Saab Sohail Kaa Samaan De Du Iss Ko Paidal Jana Hay Main Nay Kaha Iss Ko Samaan Na Kahu Bas Kah Du Ye Bojh Sohail Ko Wapis Kar Du 3 Ya 4 Puraani Kameezein Kuch Badboudaar Mozzay ,,,,,,,Humaree Baat Adhuree Reh Gai Sohail Nay Apnay Kapron Kay Brand Batanay Shuro Kar Diye Hum Bee Ek Zamany Kay Dheet ,,Hum Bolay In Branded Companies Ko Pata Chal Gia Kay Aap Bee In Kay Brand Use Kartay Hein ,,,, Wo Ya Tu Compnay Band Kar Dein Gay Ya Fer Aap Par Zaror Muqdima Karaein Gay Kay Ap Ki Ye Majaal,,,,Sohail Bola Khan Saab Ap Bee Kuch Sath Laye Hu Ya Pher Mangh Mangh Kar Hee Guzaraa Karna Hay Hum Bolay Bahi Apna Assool Hay Kay Saffar Hamesha Bhut Hee Asaan Huna Chaiye Samaan Apna Kam Dosron Ka Zayda Room Mein Sab Say Achay Bed Par Nazar Agar Musafer Khana Ya Manjhee Lainay Wali Nobat Hu Tu Jutay Sar Kay Neechay Kher Hum Nay Socha Asa Naa Hu Sab Hushiyaar Hu Jaein Or Humaray Palay Kuch Bee Na Bachay Kaleem Ko Janay Kia Hua Geet Ganay Laga Ye Mosam Ye Mast Nazaaray ,,Piar Karo Tu In Say Karo Ek Tu Kaleem Ki Phatay Huay Dhool Jeci Awaaz Dosra Saffar Ki Mushkilaat Hum Sab Samjhay Kay Uss Kaa Zahni Tawazaan Gia,,,,Naved Bola Wah Kaleem Teri Awaaz Bhut Achi Hay Mera Mashwara Hay Train Mein Ga Ga Kar Bheek Mangha Kar Ya Fer Ramzan Main Sehree Jagaya Kar ,,,,,Samany Baithay Baba Ji Ko Bee Surr Sangeet Say Kaleem Ka Mazaaq Ek Ankh Bee Nahi Bahya Us Nay Apna Gham Mitanay Kay Liye Cigret Sulghaa Li Samnay Baitha Bacha Juice Pee Raha Tha Sohail Uss Ko Ghoor Raha Tha Hum Nay Kaha Bahi Bachay Kay Juice Par Nazar Na Rakhu Iss Ka Abbu Koi Gujranwala Ka Pehalwaan Lagh Raha Hay Hum Say Kici Bee Madad Ki Umeed Na Rakhna Sohail Nay Humein Bhut Bahre See Gaali De Ju Train Ki Awaaz Mein Kahien Gum Hu Gai(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1193879 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.