Saffar Shumaal Kay(Episode8)

(hukhan, karachi)

Train Nay Apni Raftaar Mein Izafa Na Karnay Ki Qasam Khaiee Hui Thee Sewaye Chand Cychlon,Bail Gaarion Or Khutta Gaarion Kay Kici Say Aghay Nahi Niklee Thee Hum Iss Ki Musaqal Mezzajhi Kay Qaiel Hu Gaye Thay Puraany Laal Eenton Kay Banay Huay Ghar Peechay Ko Dournay Lagay Sohail Bhut Sanjeeda Sa Munh Bnaye Train Mein Bnaye Gaye Surraakh Yeni Kherki Mn Say Baher Dekh Raha Tha Hum Sochnay Laga Bahi Ko Simran Yaad Aa Rahee Hu Gee Hum Nay 21 Veen Sadee Kay Raanjhay Say Pocha Bahi Udaas Hu Ya Ajh Kal Ap Ka Munh Hee Asa Hay Sohail Nay Humein Yun Dekha Jasay NAB Walay Kici Corrupt Mujhrim Ko Dekhtein Hein Hum Nay Kici Ghreeb Ki Salary Jasa Munh Bana Lia Ju Kay Shuro Hutay Hee Khatam Hu Jata Hay,,,Dekhu Bahi Humeein Ap Say Pori Hamdardee Hay Magar Hum Ap Kay Dukh Or Hunay Wali Bhabhi Yeni Simran Ko Share Nahi Kar Saktay Tuu Behtar Hay Kay Aap Apna Purana Sa Munh Mazeed Burra Na Bnaow,,,Sohail Nay Humaree Hamdardee Par 4 Yaa 5 Abhee Hamein Sahi Say Yaad Nahi Laantein Bhejhein Or Bolay Khan Saab Ek Ye Train Ek Iss Kaa Nashta Oper Say App Ki Bakwaas Fer Garmee Mein Kuch Be Kar Sakta Hun Mein Nay Naved Say Kaha Jaldee Say Train Kaa Darwaaaza Band Kar Du Kahien Ye Neechay Naa Kodh Jaye Naved Nay Kaha Wahan Say Koib Bee Jupm Nahi Kar Sakta Hum Bolay Wo Kasay Kaha Bahi Darwazay Par Itnay Logh Bathay Hein Kay Un Mein Say Makhi Nahi Guzar Saktee Sohail Kaha Say Guzar Paye Ga Apnay Dost Ki Jaan Ki Amaan Dekh Kar Humein Kafee Had Tak Tasalee Hu Gai Hum Sochnay Lagay Iss Se Jaan Chotnay Ka Ye Asraa Bee Khatam Hua,,,,Kaleem Nay Kaha Wesay Mera Khiyal Hay Kay Jasay Hee Simran Ko Pata Chala Kay Sohail Uss Kaa Hunay Wala Raj Hay Us Nay Safar Cancil Kar Dia Hu Ga Ya Fer Train Badal Li Hu Gee Sohail Ko Kaleem Ki Baat Pasand Nahi Ayi Uss Ka Khiyal Tha Kay Hum Sab Uss Ki Prem Kahani Ju Kay Shuro Hunay Ko Thee Hum Us Kahaani Kay Villain Hein Jabh Kay Hum Mein Koi Bee Naa Tu Gabar Tha Naa Hee Koi Amresh Pori Tha.Kher Hum Nay Kaha Bahi Dekhu Ye Safar Hay Or Manzil Hunoz Dor Ast.Naved Nay Sohail Ko Husla Dia Bolay Abhee Bhut Andhee Larkian Milein Gee Tum Bas Husla Qaim Rakhna,,,,,Dekh Kar Har Larki Chapal Utha Laity Hay Janay Iss Mein Kia Raaz Hay,,,,,,,,,,Humara Sheir Sohail Ko Pasand Nahi Aya Hum Nay Bee Uss Ki Wah Wah Na Milnay Ka Buraa Naa Manaya Qun Kay Ye Humaray Sath Aqsar Huta Rehta Hay Adab Kay Qadardano Ki Hamesha Say Kami Rahi Hay Or Wesay Bee Humara Adab Har Kici Ko Hazam Nahi Huta Humara Adab Samjhnay K Liye Banday Ka Bhut Had Taq Bayadab Huna Bay Had Zrorri Hay(Jaaree Hay)A

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1195089 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.