اظہار کا تہوار

ڈاکٹر بیدل حیدری
کبیر والا

جہاں طاقت کے گماشتے' عزت دار اور اپنے عہد کے معزز و معتبر رہے ہیں' وہاں تک بند صاحب لوگ اور کرسی قریب بھی' سلام و پرنام اور سرکاری ایوارڑز کے حق دار قرار دیے گئے ہیں۔ ہنرمند' باشعور اور حق گو بھوک وپیاس کی صلیب پر مصلوب ہوتے رہے ہیں۔ تک بند اور خیال چور سر خان بہادر آج بھی عالمی حلقوں میں معروف ہیں۔ فقیر بیدل کے نام سے بھی لوگ آگاہ نہیں ہیں۔
 

Bai'shak yah toor qiyamat se kisi tara kam nahain. Kya karain choon'kah yah eak rovaeya raha hai aur her dour main is ki bari shan se tajdeed hoti rahi hai is liay is ke khalaf awaz othana mout ko masi kehnay ke motradif hai. Haan main haan milatay hain to monafiq, mokhalfit siraf Sarmad se log hi kar saktay hain aur Hussain se log hi sach ko samnay la saktay hain.

Bad'qismati daikheay yazeed hi in tabqoon ka amam chala ata hai aur baray dharallay se os ke naam ke sath r a ka lahqa jora jata hai. khair choriay mein kya likhnay baith gya hoon.

Akhter Hussain Jafri Hoon ya Bai'dil Haidri, ki haqiqi paziraee kabhi nahain hoee. Jab kisi ne kuch kaha rasmi sa hi kaha. Haan ab donoon par MPhil sata ke moqalay howay hain. Akhter Hussain Jafri ki taqribun 20-22 saal baad soni gaee hai. Haan albata bai'dil sahib ki zara jald hi soni gaee hai.

Baidil Haidri ki zoban aur fikr bari hi tawana hai. Zoban bikul sada aur aam fehm hai ta'hum is sada aur aam feham zoban main ki gaee batain is ehad ki zinda shahadat hain. Ata waqt oon ki shaeri ke hawala se, is ehad ko aur is ehad ke moamlaat ko, khoob khoob jan le ga.

Ahal e sawrvat her ehad main motakabar aur khuda nahain to khuda'nama zaroor rahe hain. Gozartay waqt ke sath is andaz o rovaeay main bari shidat aee hai. dehleez se bahar qadam rakhte hi maha faraonoon se wasta parta hai. On ko mokhatab kartay howay Baidil kehtay hain:

Is qadar bhi na sar otha kar chalo
Janay pagri kahaan otar ja'ay

Oon ka adaz khlistan tambhi hai. Gharoor aur takabar ka sar hamaisha nicha hi hota hai.

Aaj ke shakhas ke tour ki akasi malahza ho. Kya kamal ki
baat kar gaee hain. Zara ird gird ka jaeza kar daikhain yah'hi kuch nazar aa'ay ga.

Yah kaise riya'karoon ki basti hai kah jis main
Her shakhas ne pehna hai sharafat ka libada

Issi qamash ka eak aur shear malahza ho

Hum se ommeed rehnamaee na rakh
Hum monafiq sadi ke rehbar hai

Ghear to ghear, apnay bhi baad'diyanti main apna kamal dikha rahe hain.

Oon makanoon pa Khuda apna karam farma'ay
Jin main khud oon ke makein' naqab laganay lag jaein

Is ehad main mojood gurbat o osrat ke hawala se yah shear malahza farmaein:

Tira yah haal' ab ay muflasi daikha nahain jata
Tiri ongli pakartay hain, tujhy andha banatay hain

Achaee aur khair ki ommeed rekhne waloon se kehtay hain.

Subh ke khaab daikhnay walo!
Khair mango, kah shab gozar ja'ay

Haq baat ke izhaar ke hawala se Bai'dil ka nazriya malazah ho. Talmeh ka bare hi nafees andaz main istamal howa hai.

Haq baat ke izhaar ke tehwar manaya
Sachaee ka jashan os ne sar e daar manaya

Waqt aur halaat jo zakham daitay hain. Admi lafzoon aur halaat ki talwar se zindgi main un'gint baar qatl hota hai. Is amr ka kya khobi se izhar kartay hain. malahza ho:

Chehray ki jhuroon ko kabhi ainay main daikh
Kis kis jaga howa hai tira intaqal soach

Zarorat, hajit, halaat, majbori waghera main insan kya kuch kar jata hai, malahza ho.

Darya main otarnay se mujhy roknay walo!
Piyasay ko sumundar bhi sumundar nahain lagta

Insan kis halat aur halaat main raha hai, malahza ho:

Shah ke saya e nawazesh main
Hum sabhi hain ghulam gardesh main

Sada zoban fasahat o balaght main bhi apna kamal rakhti hai. Khoob'surat marakbaat ki tashkeel ka hunar woh khoob jantay hain. maslun
Dasht e hunar, Paikar e sehra, Qarya e jaan, Ehad e barood, Khush'bu ke punchi

Mohavraat ka istamal bhi bar'mohal karty hain. maslun
Sar phorna: Mein kahan phorta raha sar ko

Sokhnay dalna: zanana mohvra hai, istamal daikhiay
Choor is tashnagi ke chakar ko
Sokhnay daal de Sumundar ko

Tofan othna:
Eak tofan sa otha Bai'dil

San'atoon ka bhi bari khobi se istamal kar jatay hain. San'at tazaad ki dou eak misalain malahza hoon:

oroj o zawal:
Daikhay hain tu ne kitnay oroj o zawal soch

Subh Shab:
Subh ke khaab daikhnay walo!
Khair mango, kah shab gozar ja'ay

San'at tazaad aur mota'alqaat ka istamal malahzah ho.

Jagta hoon to zehan sonay lagay
Sona chahoon to niand ochat ja'ay

Bai'dil Haidri marhoom ke hath se likhi kuch ghazlain dastyaab hoee hain. Ahbaab ki khidmat main bare hi khalous piyar aur ehtaram se paish kar raha hoon. Marhoom is sata ke shair hain kah oon par bohat kuch likha ja'ay.Yah ghazlain issi gharz se paish kar raha hoon kah sahib e ilm is janib khalous aur mohabat se tovajo dain.

fani
maqsood hasni

maqsood hasni
About the Author: maqsood hasni Read More Articles by maqsood hasni: 184 Articles with 192858 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.